ek nai botiqa
suno
tumhāre phaphūñd lage jazbe
ab kisī ko muta.assir nahīñ kar sakte
kyūñki hurūf-e-tahajjī se lafzoñ kī
ek na.ī botīqā likhī jā rahī hai
jis meñ
miim se mohabbat daal se dard aur jiim se judā.ī nahīñ
shāyad in lafzoñ ko zanjīroñ se bāñdh kar
kisī andhe kueñ meñ pheñk diyā gayā hai
lafz bhī ab to sāzisheñ karne lage haiñ
mohabbat ko dīvār meñ chun kar
nafrateñ siina taan kar chaltī haiñ aur
dukh ḳhushiyoñ ko pattī pattī bikher kar khilkhilāte haiñ
aur to aur
ab parinde bhī āsmānoñ par nahīñ uḌte ki
kahīñ kisī nā-ma.alūm drone kī zad meñ aa kar
zamīñ-bos na ho jaa.eñ
titlī ke paroñ par niil paḌe hue haiñ aur
bhañvre dandanāte phirte haiñ
magar koī āsmāñ nahīñ phahTtā
is liye suno
lafzoñ kī na.ī botīqā likhī jā rahī hai to
aur kuchh nahīñ to tum
apnī aadhī adhūrī nazmeñ
is meñ pesh-e-lafz ke taur par shāmil kar do
is se pahle ki vo
kisī ātish-dān kā īñdhan baneñ yā
kisī kūḌe-dān se un ke purze
havā ke haath lag jaa.eñ
aur havā unheñ rail kī paTrī par pheñk aa.e
aur is se bhī pahle ki nazmeñ ḳhud-kushī kar leñ aur
lafzoñ kī nauha-ḳhvānī se duā.eñ rasta bhuul jaa.eñ
yā phir aao aisā kareñ ki
lafzoñ kī na.ī botīqā meñ
vahī purāne lafz hī kāsht kareñ ya.anī
miim se mohabbat
daal se dard
aur jiim se judā.ī
suno
tumhaare phaphund lage jazbe
ab kisi ko mutassir nahin kar sakte
kyunki huruf-e-tahajji se lafzon ki
ek nai botiqa likhi ja rahi hai
jis mein
mim se mohabbat dal se dard aur jim se judai nahin
shayad in lafzon ko zanjiron se bandh kar
kisi andhe kuen mein phenk diya gaya hai
lafz bhi ab to sazishen karne lage hain
mohabbat ko diwar mein chun kar
nafraten sina tan kar chalti hain aur
dukh KHushiyon ko patti patti bikher kar khilkhilate hain
aur to aur
ab parinde bhi aasmanon par nahin uDte ki
kahin kisi na-malum drone ki zad mein aa kar
zamin-bos na ho jaen
titli ke paron par nil paDe hue hain aur
bhanwre dandanate phirte hain
magar koi aasman nahin phahTta
is liye suno
lafzon ki nai botiqa likhi ja rahi hai to
aur kuchh nahin to tum
apni aadhi adhuri nazmen
is mein pesh-e-lafz ke taur par shamil kar do
is se pahle ki wo
kisi aatish-dan ka indhan banen ya
kisi kuDe-dan se un ke purze
hawa ke hath lag jaen
aur hawa unhen rail ki paTri par phenk aae
aur is se bhi pahle ki nazmen KHud-kushi kar len aur
lafzon ki nauha-KHwani se duaen rasta bhul jaen
ya phir aao aisa karen ki
lafzon ki nai botiqa mein
wahi purane lafz hi kasht karen yani
mim se mohabbat
dal se dard
aur jim se judai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.