ek nazam
kaun soche ki sūraj ke hāthoñ meñ kyā hai
havāoñ kī tahrīr paḌhne kī fursat kisī ko nahīñ
kaun DhūñDe
fazāoñ meñ tahlīl rasta
kaun guzre soch ke sāhiloñ se
ḳhvāhishoñ kī sulagtī huī ret ko
kaun hāthoñ meñ le
kaun utre samundar kī gahrā.iyoñ meñ
chāndnī kī javāñ uñgliyoñ meñ
uñgliyāñ kaun Daale
kaun samjhe mire falsafe ko
jald hī ye safar ḳhatm hone ko hai
kisī benām-o-nishāñ lamhe meñ dil chāhtā hai
dūriyāñ bas mirī muTThī meñ simaT kar rah jaa.eñ
Doriyāñ ḳhema-e-tanhā.ī kī kaT kar rah jaa.eñ
kaun soche ki suraj ke hathon mein kya hai
hawaon ki tahrir paDhne ki fursat kisi ko nahin
kaun DhunDe
fazaon mein tahlil rasta
kaun guzre soch ke sahilon se
KHwahishon ki sulagti hui ret ko
kaun hathon mein le
kaun utre samundar ki gahraiyon mein
chandni ki jawan ungliyon mein
ungliyan kaun Dale
kaun samjhe mere falsafe ko
jald hi ye safar KHatm hone ko hai
kisi benam-o-nishan lamhe mein dil chahta hai
duriyan bas meri muTThi mein simaT kar rah jaen
Doriyan KHema-e-tanhai ki kaT kar rah jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.