ek nazar
ek baar aur zarā dekh idhar
apne jalvoñ ko bikhar jaane de
ruuh meñ mirī utar jaane de
muskurātī huī nazroñ kā fusūñ
ye hasīñ lab ye daraḳhshanda jabīñ
abhī bebāk nahīñ
aur aane de unheñ merī nigāhoñ ke qarīñ
Daal phir merī javāñ-ḳhez tamannāoñ par
be-muhābā sā baasī nazar
ek baar aur zarā dekh idhar
haañ vahī ek nazar
ġhair-fānī sī nazar
jis kī āġhosh meñ raqsinda hai
abadī kaif kī duniyā-e-jamīl
jis meñ tārīkī ālām nahīñ
kāhish gardish-e-ayyām nahīñ
mahv ho jaate haiñ jis se yaksar
yād-e-māzī kī ḳhalish
kāvish-e-fardā kā asar
haañ vahīñ ek nazar
ek baar aur zarā dekh idhar
ek bar aur zara dekh idhar
apne jalwon ko bikhar jaane de
ruh mein meri utar jaane de
muskuraati hui nazron ka fusun
ye hasin lab ye daraKHshanda jabin
abhi bebak nahin
aur aane de unhen meri nigahon ke qarin
Dal phir meri jawan-KHez tamannaon par
be-muhaba sa basi nazar
ek bar aur zara dekh idhar
han wahi ek nazar
ghair-fani si nazar
jis ki aaghosh mein raqsinda hai
abadi kaif ki duniya-e-jamil
jis mein tariki aalam nahin
kahish gardish-e-ayyam nahin
mahw ho jate hain jis se yaksar
yaad-e-mazi ki KHalish
kawish-e-farda ka asar
han wahin ek nazar
ek bar aur zara dekh idhar
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 441)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.