Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nazm

Shaista Habeeb

ek nazm

Shaista Habeeb

MORE BYShaista Habeeb

    āñkheñ andhe kueñ mānind duur añdhere rastoñ par paanī ko khurach rahī haiñ

    gahrī dhund chādar oḌhe kaun abhāgan

    phuuT phuuT ke ro bhī na paa.ī

    sabr roTī chup sālan sab zā.iqoñ se kaḌvā zahr gale ke andar

    kund chhurī mānind aTke

    kyā bole saare lafz apne lahū gardish se be-parvā

    lab par utreñ

    ma.ānī ke chhilkoñ ko utārūñ nañgī rūheñ kuchh na kaheñgī

    duniyā sab kuchh us ko

    vāpas kuchh bhī na lenā haath tumhāre sadā bhare raheñge jazboñ ke phūloñ se

    mat kuchh kahnā varna saarā malba tumhāre uupar aan giregā

    kachchī dīvāroñ ke naate tasvīroñ ke rañgoñ se bhī kachche

    hāthoñ aur zabānoñ par guzrī bātoñ ke saare sukh ik ik kar ke miTte jaate haiñ

    man saarī shaktī biich samundar Duub ga.ī hai

    havā meñ āñsū-gas ke gole chhūTeñ to sab ronā ek vaqt ro leñ

    tyaag lambā rasta bāñheñ phailā.e apnī or bulātā hai

    aage jaao sab kuchh suno

    aao is āvāz ke raste par chalte jaa.eñ

    dīvār duur se duur

    aankhen andhe kuen ki manind dur andhere raston par pani ko khurach rahi hain

    gahri dhund ki chadar oDhe kaun abhagan

    phuT phuT ke ro bhi na pai

    sabr ki roTi chup ka salan sab zaiqon se kaDwa zahr gale ke andar

    kund chhuri ki manind aTke

    kya bole sare lafz apne lahu ki gardish se be-parwa

    lab par utren

    maani ke chhilkon ko utarun nangi ruhen kuchh na kahengi

    duniya sab kuchh us ko

    wapas kuchh bhi na lena hath tumhaare sada hi bhare rahenge jazbon ke phulon se

    mat kuchh kahna warna sara malba tumhaare upar aan girega

    kachchi diwaron ke nate taswiron ke rangon se bhi kachche

    hathon aur zabanon par guzri baaton ke sare sukh ek ek kar ke miTte jate hain

    man ki sari shakti bich samundar Dub gai hai

    hawa mein aansu-gas ke gole chhuTen to sab rona ek hi waqt ro len

    tyag ka lamba rasta banhen phailae apni or bulata hai

    aage jao sab kuchh suno

    aao is aawaz ke raste par chalte jaen

    diwar dur se dur

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now