ek nazm
abhī ġhair-dilchasp ho jā.eñge ham
abhī tum kahoge
ki be-kār hai guftugū kā bahāna
abhī maiñ kahūñgā
ki be-kār hai kārobār-e-zamāna
abhī tum zabāñ par
sulagtī huī ret kā zā.iqa chand lamhoñ meñ mahsūs karne lagoge
abhī maiñ zabāñ par
koī ḳhūbsūrat farishta-sifat naam tanhā.iyoñ meñ nahīñ lā sakūñgā
abhī zehn bīmār ho jā.eñge sab
falak tak pahuñchte hue haath be-kār ho jā.eñge sab
bhale yā bure ham abhī haiñ salāmat
abhī TūTne ko hai lekin qayāmat
agar marg-e-ehsās kī aarzū āḳhirī qadr Thahrī
abhī ek be-jān maazī ke sahrā meñ kho jā.eñge ham
abhī ġhair-dilchasp ho jā.eñge ham
abhi ghair-dilchasp ho jaenge hum
abhi tum kahoge
ki be-kar hai guftugu ka bahana
abhi main kahunga
ki be-kar hai karobar-e-zamana
abhi tum zaban par
sulagti hui ret ka zaiqa chand lamhon mein mahsus karne lagoge
abhi main zaban par
koi KHubsurat farishta-sifat nam tanhaiyon mein nahin la sakunga
abhi zehn bimar ho jaenge sab
falak tak pahunchte hue hath be-kar ho jaenge sab
bhale ya bure hum abhi hain salamat
abhi TuTne ko hai lekin qayamat
agar marg-e-ehsas ki aarzu aaKHiri qadr Thahri
abhi ek be-jaan mazi ke sahra mein kho jaenge hum
abhi ghair-dilchasp ho jaenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.