ek nazm
ai kisī gulshan zarrīñ kī garāñ-qadr kalī
apnī ujḌī huī mahkār chhupā le mujh se
ai kisī bistar-e-kam-ḳhvāb kī be-rañg shikan
apnā rauñdā huā kirdār chhupā le mujh se
ai kisī jannat-e-zar-fām se aane vaalī
apnā TuuTā huā pindār chhupā le mujh se
tū ne ik baar kahā thā mujhe tanhā.ī meñ
pyaar daulat kā parastār nahīñ ho saktā
zindagī hirs ke pahlū meñ nahīñ so saktī
jism rusvā sar-e-bāzār nahīñ ho saktā
valvale ruuh ke nīlām nahīñ ho sakte
husn zillat kā parastār nahīñ ho saktā
maslahat aaj magar jiit chukī hai tujh ko
koī kis muñh se kahe mūnis-o-ġham-ḳhvār tujhe
koī kis dil se kahe pyaar kī raanī tujh ko
koī kis tarah kahe paikar-e-īsār tujhe
tū ne bechī hai sar-e-ām javānī apnī
gudgudātī hai zar-o-sīm kī jhankār tujhe
ye tirā pyaar tire jism kā saudā hī sahī
ab tirī ruuh tire paas nahīñ aa.egī
ye tirā dil ki bhaTaktā hī chalā jaatā hai
is meñ ab shiddat-e-ehsās nahīñ aa.egī
tū ne har-chand garāñ nirḳh ye jalve beche
ye tijārat bhī tujhe raas nahīñ aa.egī
dekh us daur-e-jahāñ-soz ke vīrāne meñ
lazzat-e-jism ke tūfān ba-har-gām uThe
kyā yahī tujh ko sikhāyā hai nizām-e-zar ne
ki mohabbat kā janāza sahar-o-shām uThe
kyā yūñhī pyaar kī tauqīr huā kartī hai
ki mahaktī huī har saañs kā nīlām uThe
dekh is dahr meñ arbāb-e-havas ke hāthoñ
aabrū pyaar kī miTTī meñ milī jaatī hai
hirs kā shor fazāoñ meñ rachā jaatā hai
baat iḳhlās kī hoñToñ meñ silī jaatī hai
sādgī husn kā majrūh-e-tabassum ban kar
kisī jallād ke chehre pe khulī jaatī hai
tū ki ab tujh se mujhe koī sarokār nahīñ
ban ke tū kis ke liye ā.ina-rū aatī hai
ye numā.ish kī mohabbat ise maiñ jāntā huuñ
kyuuñ mire sāmne sahmī huī tū aatī hai
ai kisi gulshan zarrin ki garan-qadr kali
apni ujDi hui mahkar chhupa le mujh se
ai kisi bistar-e-kam-KHwab ki be-rang shikan
apna raunda hua kirdar chhupa le mujh se
ai kisi jannat-e-zar-fam se aane wali
apna TuTa hua pindar chhupa le mujh se
tu ne ek bar kaha tha mujhe tanhai mein
pyar daulat ka parastar nahin ho sakta
zindagi hirs ke pahlu mein nahin so sakti
jism ruswa sar-e-bazar nahin ho sakta
walwale ruh ke nilam nahin ho sakte
husn zillat ka parastar nahin ho sakta
maslahat aaj magar jit chuki hai tujh ko
koi kis munh se kahe munis-o-gham-KHwar tujhe
koi kis dil se kahe pyar ki rani tujh ko
koi kis tarah kahe paikar-e-isar tujhe
tu ne bechi hai sar-e-am jawani apni
gudgudati hai zar-o-sim ki jhankar tujhe
ye tera pyar tere jism ka sauda hi sahi
ab teri ruh tere pas nahin aaegi
ye tera dil ki bhaTakta hi chala jata hai
is mein ab shiddat-e-ehsas nahin aaegi
tu ne har-chand garan nirKH ye jalwe beche
ye tijarat bhi tujhe ras nahin aaegi
dekh us daur-e-jahan-soz ke virane mein
lazzat-e-jism ke tufan ba-har-gam uThe
kya yahi tujh ko sikhaya hai nizam-e-zar ne
ki mohabbat ka janaza sahar-o-sham uThe
kya yunhi pyar ki tauqir hua karti hai
ki mahakti hui har sans ka nilam uThe
dekh is dahr mein arbab-e-hawas ke hathon
aabru pyar ki miTTi mein mili jati hai
hirs ka shor fazaon mein racha jata hai
baat iKHlas ki honTon mein sili jati hai
sadgi husn ka majruh-e-tabassum ban kar
kisi jallad ke chehre pe khuli jati hai
tu ki ab tujh se mujhe koi sarokar nahin
ban ke tu kis ke liye aaina-ru aati hai
ye numaish ki mohabbat ise main jaanta hun
kyun mere samne sahmi hui tu aati hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 154)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.