ek nazm
maiñ
hayāt-e-muhmal kī justujū meñ
safar zamāne kā kar chukā huuñ
maiñ ik juārī kī tarah saarī bisāt apnī luTā chukā huuñ
maiñ aadmī ke aziim ḳhvāboñ kī saltanat bhī gañvā chukā huuñ
na jeb raḳht-e-safar kā tohfa liye hue hai
na zehn merā kisī tasavvur kā dukh uThāne
kisī mohabbat kā bojh sahne ke vāste iḳhtilāl meñ hai
maiñ fāteh kī tarah chalā thā
jo rāste meñ mile mujhe
vo teġh merī se kaT ga.e the
maiñ zā.iroñ ke libās meñ
qarz ḳhūñ-bahā kā utārne, sar muñDā ke yūñhī nikal gayā thā
ki lauT ā.ūñgā
ek din
phir batā.ūñgā maiñ hayāt-e-muhmal kā raaz kyā hai?
ye ḳhvāb hai yā ḳhayāl hai?
maiñ hayāt-e-muhmal kī justujū meñ
safar zamāne kā kar chukā huuñ
maiñ be-navā be-giyāh aur be-samar shajar huuñ
jo sau zamānoñ kī dhuul meñ be-basar bhikārī kī tarah
apnī hī āstīñ meñ laraz rahā hai!
main
hayat-e-muhmal ki justuju mein
safar zamane ka kar chuka hun
main ek juari ki tarah sari bisat apni luTa chuka hun
main aadmi ke azim KHwabon ki saltanat bhi ganwa chuka hun
na jeb raKHt-e-safar ka tohfa liye hue hai
na zehn mera kisi tasawwur ka dukh uThane
kisi mohabbat ka bojh sahne ke waste iKHtilal mein hai
main fateh ki tarah chala tha
jo raste mein mile mujhe
wo tegh meri se kaT gae the
main zairon ke libas mein
qarz KHun-baha ka utarne, sar munDa ke yunhi nikal gaya tha
ki lauT aaunga
ek din
phir bataunga main hayat-e-muhmal ka raaz kya hai?
ye KHwab hai ya KHayal hai?
main hayat-e-muhmal ki justuju mein
safar zamane ka kar chuka hun
main be-nawa be-giyah aur be-samar shajar hun
jo sau zamanon ki dhul mein be-basar bhikari ki tarah
apni hi aastin mein laraz raha hai!
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 50)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.