ek nazm
kis tasavvur ke raqs meñ go
tirī sadā kā vajūd mujh ko milā nahīñ hai
kisī kitāb-e-kuhan meñ chaltī aziim dānish ke naqsh-e-pā meñ
tire badan kā nishān mujh ko milā nahīñ hai
maiñ chaar samtoñ se pūchhtā huuñ
anāsiroñ ke taġhayyuroñ se
meñ saltanat ke najūmiyoñ se
ye pūchhtā huuñ
ki kaun hai tū
jo mere ḳhvāboñ ke silsile meñ
mire tafakkur ke rāstoñ meñ
na.e tanāzoñ kā biij bo kar chalī ga.ī hai
kahāñ ki mujh ko patā nahīñ hai
zamīñ ke naqshe pe ābnāo ke saath chal kar
kabhī sadā se bhī tez chalte jahāz ke dā.ere darīche se sar lagā kar
meñ arġhavānī sharāb thāme
dabīz shīshoñ kī dūrbīñ se
nigāh kī āḳhirī hadoñ tak tire tasavvur ko dekhtā thā
magar ḳhalā ke sivā kahīñ kuchh nazar na aayā
ye sochtā huuñ ki maiñ tasavvur ke ā.īne meñ
salīs bātoñ ke pairahan meñ
tujhe utārūñ to kis tarah maiñ
jo zindagī ke tazād meñ hai
jo aarzū ke fasād meñ hai
jo terī ḳhātir tamām duniyā kī ishratoñ se farār ho kar
na.e tamaddun ke zā.iche meñ
na.ī alāmat ke dā.ere meñ tire qadam ke nuzūl ko phir
talāsh karne kī kashmakash se guzar rahā hai
charāġh jis ke dimāġh kā
ik murāqabat meñ sulag rahā hai
kis tasawwur ke raqs mein go
teri sada ka wajud mujh ko mila nahin hai
kisi kitab-e-kuhan mein chalti azim danish ke naqsh-e-pa mein
tere badan ka nishan mujh ko mila nahin hai
main chaar samton se puchhta hun
anasiron ke taghayyuron se
mein saltanat ke najumiyon se
ye puchhta hun
ki kaun hai tu
jo mere KHwabon ke silsile mein
mere tafakkur ke raston mein
nae tanazon ka bij bo kar chali gai hai
kahan ki mujh ko pata nahin hai
zamin ke naqshe pe aabnao ke sath chal kar
kabhi sada se bhi tez chalte jahaz ke daere dariche se sar laga kar
mein arghawani sharab thame
dabiz shishon ki durbin se
nigah ki aaKHiri hadon tak tere tasawwur ko dekhta tha
magar KHala ke siwa kahin kuchh nazar na aaya
ye sochta hun ki main tasawwur ke aaine mein
salis baaton ke pairahan mein
tujhe utarun to kis tarah main
jo zindagi ke tazad mein hai
jo aarzu ke fasad mein hai
jo teri KHatir tamam duniya ki ishraton se farar ho kar
nae tamaddun ke zaiche mein
nai alamat ke daere mein tere qadam ke nuzul ko phir
talash karne ki kashmakash se guzar raha hai
charagh jis ke dimagh ka
ek muraqabat mein sulag raha hai
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 51)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.