ek nazm
raat abābīloñ ke paroñ se nikal rahī hai
tum mujh se qarīb ho
aur merā safar samundar meñ
us kashtī kī tarah hai
jis ke chappuoñ kī āvāzeñ
us kā pīchhā kar rahī haiñ
ab chāhat tumhāre bāzuoñ se nikal kar
darindoñ kī āvāzeñ ban rahī hai
apne baazū khol do!
raat ababilon ke paron se nikal rahi hai
tum mujh se qarib ho
aur mera safar samundar mein
us kashti ki tarah hai
jis ke chappuon ki aawazen
us ka pichha kar rahi hain
ab chahat tumhaare bazuon se nikal kar
darindon ki aawazen ban rahi hai
apne bazu khol do!
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 68)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.