ek nazm beTe ke liye
tumheñ yaad hai
merī āñkhoñ par kas kar bāñdhā gayā
vo apnā rūmāl
phūloñ meñ daraḳhtoñ ke jhunD ke darmiyāñ
store room meñ khamboñ ke pīchhe
kabhī palang ke nīche
chhupte phirte the tum
maiñ kahāñ huuñ mujhe DhūñDo
mere aage pīchhe dauḌtī bhāgtī tumhārī āvāzeñ
mujhe chhū chhū kar duur ho jaatī thiiñ
maiñ apnā haath phailā.e DhūñD DhūñD kar
tumheñ pā hī letī thī
ye hamārā man pasand khel thā
na jaane kab kaise aur kahāñ khel hī khel meñ
yā tumhāre dauḌte bhāgte qadmoñ ke ġhubār meñ
tum kahīñ kho ga.e
aur mere gale meñ aTkī rah ga.ī
bas ek dhuul
khāñs khāñs kar saaf kartī huuñ
nikaltī hī nahīñ
aTā paḌā hai merā chehra gard se
aa.ina dekhūñ to samajh meñ nahīñ aatā kise dekh rahī huuñ
apnī āñkhoñ par bañdhā rūmāl
maiñ ne apne hī hāthoñ kholā thā
aur ehtiyāt se box meñ rakh diyā thā
maiñ kahāñ huuñ mujhe DhūñD lo vaalā khel
khelne vaalā koī thā hī nahīñ
magar aaj merī god meñ tumhārā bachcha
mujh se maañg rahā hai vahī rūmāl
aaj nikālūñgī use dho saaf kar ke
apne siine kī ḳhushbū se basā.ūñgī
ki phir shurūa karnā hai mujhe vahī man pasand khel
aur is baar maiñ kho jā.ūñgī
tumhein yaad hai
meri aankhon par kas kar bandha gaya
wo apna rumal
phulon mein daraKHton ke jhunD ke darmiyan
store room mein khambon ke pichhe
kabhi palang ke niche
chhupte phirte the tum
main kahan hun mujhe DhunDo
mere aage pichhe dauDti bhagti tumhaari aawazen
mujhe chhu chhu kar dur ho jati thin
main apna hath phailae DhunD DhunD kar
tumhein pa hi leti thi
ye hamara man pasand khel tha
na jaane kab kaise aur kahan khel hi khel mein
ya tumhaare dauDte bhagte qadmon ke ghubar mein
tum kahin kho gae
aur mere gale mein aTki rah gai
bas ek dhul
khans khans kar saf karti hun
nikalti hi nahin
aTa paDa hai mera chehra gard se
aaina dekhun to samajh mein nahin aata kise dekh rahi hun
apni aankhon par bandha rumal
main ne apne hi hathon khola tha
aur ehtiyat se box mein rakh diya tha
main kahan hun mujhe DhunD lo wala khel
khelne wala koi tha hi nahin
magar aaj meri god mein tumhaara bachcha
mujh se mang raha hai wahi rumal
aaj nikalungi use dho saf kar ke
apne sine ki KHushbu se basaungi
ki phir shurua karna hai mujhe wahi man pasand khel
aur is bar main kho jaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.