Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nazm

Fazl Tabish

ek nazm

Fazl Tabish

MORE BYFazl Tabish

    suno ham daraḳhtoñ se phal toḌte vaqt

    un ke liye mātamī dhun bajāte nahīñ

    suno pyaar ke qahqahoñ

    aur bosoñ ke ma.asūm lamhoñ meñ ham

    āñ.suoñ ke diyoñ ko jalāte nahīñ

    aur tum lams bosoñ

    sulagtī huī garm sāñsoñ meñ

    aañsū milāne pe kyuuñ tul ga.ī ho

    suno āñ.suoñ muqaddar

    tumhārā muqaddar nahīñ

    tum abhī mausamoñ se pare

    apnī rūdād ke silsiloñ se pare

    duur tak jāogī

    kāmrāñ jāogī

    tum na jaane kahāñ merī parvāz se

    merī raftār se merī har baat se

    aur bhī duur tak jāogī

    maiñ kahīñ raah meñ ḳhaak ho jā.ūñgā

    āñ.suoñ ko bachā kar rakho

    un bhī ek samay aa.egā

    suno hum daraKHton se phal toDte waqt

    un ke liye matami dhun bajate nahin

    suno pyar ke qahqahon

    aur boson ke masum lamhon mein hum

    aansuon ke diyon ko jalate nahin

    aur tum lams boson

    sulagti hui garm sanson mein

    aansu milane pe kyun tul gai ho

    suno aansuon ka muqaddar

    tumhaara muqaddar nahin

    tum abhi mausamon se pare

    apni rudad ke silsilon se pare

    dur tak jaogi

    kaamran jaogi

    tum na jaane kahan meri parwaz se

    meri raftar se meri har baat se

    aur bhi dur tak jaogi

    main kahin rah mein KHak ho jaunga

    aansuon ko bacha kar rakho

    un ka bhi ek samay aaega

    Source :
    • Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 543)
    • Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
    • Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now