ek nazm
havā chalī havā chalī
ghane tavīl jañgaloñ ko niiñd se jagā chalī
adā-e-ḳhāmushī ko gudgudā chalī
ḳhizāñ kī zard sej se kisī kī yaad
āñkheñ maltī uTh khaḌī
charāġh-e-dard le ke sard haath par
bhaTak ke paat paat par
thakī thakī se raushnī luTā chalī
maiñ ajnabī huuñ jis ke sar pe dhuup kā kaḌā sirā
girā huuñ raah bhuul kar
ga.e zamāne ke muhīb kunD meñ
phañsā paḌā huuñ panchhiyoñ pashuoñ ke pyāse jhunD meñ
ye bebasī to khā chalī
bisāt-e-dil pe naqsha-e-shikast-dam bichhā chalī
magar vo mañd mañd muskurātī maut
bhar ke jām-e-zindagī
mujhe na ab pilā.egī
ki aaj us kī yaad bhī
chahār samt dūriyoñ kī tīrgī sajā chalī
har ik nishāñ miTā chalī
havā chalī
hawa chali hawa chali
ghane tawil jangalon ko nind se jaga chali
ada-e-KHamushi ko gudguda chali
KHizan ki zard sej se kisi ki yaad
aankhen malti uTh khaDi
charagh-e-dard le ke sard hath par
bhaTak ke pat pat par
thaki thaki se raushni luTa chali
main ajnabi hun jis ke sar pe dhup ka kaDa sira
gira hun rah bhul kar
gae zamane ke muhib kunD mein
phansa paDa hun panchhiyon pashuon ke pyase jhunD mein
ye bebasi to kha chali
bisat-e-dil pe naqsha-e-shikast-dam bichha chali
magar wo mand mand muskuraati maut
bhar ke jam-e-zindagi
mujhe na ab pilaegi
ki aaj us ki yaad bhi
chahaar samt duriyon ki tirgi saja chali
har ek nishan miTa chali
hawa chali
- Book : Pakistani Adab (Pg. 237)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.