ek nazm kahin se bhi shurua ho sakti hai
ek nazm kahīñ se bhī shurūa ho saktī hai
jūtoñ kī joḌī se
yā qabr se jo bārish meñ baiTh ga.ī
yā us phuul se jo qabr kī pā.īnī par khilā
har ek ko kahīñ na kahīñ panāh mil ga.ī
chīñtiyoñ ko jā-e-namāz ke nīche
aur laḌkiyoñ ko mirī āvāz meñ
murda bail kī khopaḌī meñ gilahrī ne ghar banā liyā hai
nazm kā bhī ek ghar hogā
kisī jilā-vatan kā dil yā intizār kartī huī āñkheñ
ek pahiya hai jo banāne vaale se adhūrā rah gayā hai
ise ek nazm mukammal kar saktī hai
ek gūñjtā huā āsmān nazm ke liye kaafī hotā hai
lekin ye ek nāshta-dān meñ bā-āsānī samā saktī hai
phuul aañsū aur ghanTiyāñ is meñ piroī jā saktī haiñ
ise andhere meñ gaayā jā saktā hai
tyauhāroñ kī dhuup meñ sukhāyā jā saktā hai
tum ise dekh saktī ho
ḳhālī bartanoñ ḳhālī qabzoñ aur ḳhālī gahvāroñ meñ
tum ise sun saktī ho
hāth-gāḌiyoñ aur janāzoñ ke saath chalte hue
tum ise chuum saktī ho
bandar-gāhoñ kī bhiiḌ meñ
tum ise gūñdh saktī ho
patthar kī maañd meñ
tum ise ugā saktī ho
podīne kī kiyāriyoñ meñ
ek nazm
kisī bhī raat se tārīk nahīñ kī jā saktī
kisī talvār se kaaTī nahīñ jā saktī
kisī dīvār meñ qaid nahīñ kī jā saktī
ek nazm
kahīñ bhī saath chhoḌ saktī hai
bādal kī tarah
havā kī tarah
rāste kī tarah
baap ke haath kī tarah
ek nazm kahin se bhi shurua ho sakti hai
juton ki joDi se
ya qabr se jo barish mein baiTh gai
ya us phul se jo qabr ki paini par khila
har ek ko kahin na kahin panah mil gai
chintiyon ko ja-e-namaz ke niche
aur laDkiyon ko meri aawaz mein
murda bail ki khopaDi mein gilahri ne ghar bana liya hai
nazm ka bhi ek ghar hoga
kisi jila-watan ka dil ya intizar karti hui aankhen
ek pahiya hai jo banane wale se adhura rah gaya hai
ise ek nazm mukammal kar sakti hai
ek gunjta hua aasman nazm ke liye kafi hota hai
lekin ye ek nashta-dan mein ba-asani sama sakti hai
phul aansu aur ghanTiyan is mein piroi ja sakti hain
ise andhere mein gaya ja sakta hai
tyauhaaron ki dhup mein sukhaya ja sakta hai
tum ise dekh sakti ho
KHali bartanon KHali qabzon aur KHali gahwaron mein
tum ise sun sakti ho
hath-gaDiyon aur janazon ke sath chalte hue
tum ise chum sakti ho
bandar-gahon ki bhiD mein
tum ise gundh sakti ho
patthar ki mand mein
tum ise uga sakti ho
podine ki kiyariyon mein
ek nazm
kisi bhi raat se tarik nahin ki ja sakti
kisi talwar se kaTi nahin ja sakti
kisi diwar mein qaid nahin ki ja sakti
ek nazm
kahin bhi sath chhoD sakti hai
baadal ki tarah
hawa ki tarah
raste ki tarah
bap ke hath ki tarah
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 118)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.