ek nazm likhna aasan hai
ek nazm likhnā bahut āsān hai
ek kāġhaz aur qalam
honā chāhiye
aur dimāġh aur ek dil
aur vo lafz
jo nazm likhnā chaah rahe hoñ
aur dil aur dimāġh ke darmiyān
ek silsila
lekin kabhī kabhī nazm nahīñ
nazm nahīñ likhī jā saktī
dil aur dimāġh aur lafz
kāġhaz aur qalam
jab in meñ se koī ek nahīñ hotā
to phir
nazm darmiyān se kho jaatī hai
ek nazm likhna bahut aasan hai
ek kaghaz aur qalam
hona chahiye
aur dimagh aur ek dil
aur wo lafz
jo nazm likhna chah rahe hon
aur dil aur dimagh ke darmiyan
ek silsila
lekin kabhi kabhi nazm nahin
nazm nahin likhi ja sakti
dil aur dimagh aur lafz
kaghaz aur qalam
jab in mein se koi ek nahin hota
to phir
nazm darmiyan se kho jati hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 86)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.