ek nazm
gum-shuda ḳhvāb shab-e-rafta ke raushan mahtāb
aaj kī raat sar-e-bām utar aa.e haiñ
gum-shuda chehre mire maazī ke zarrīñ aurāq
ek ik kar ke sar-e-ām khule jaate haiñ
mujh se kuchh kahtī haiñ ḳhāmosh nigāheñ un kī
un kī āñkhoñ meñ abhī tak hai vafā kī tanvīr
un ke māthe pe abhī tak hai vahī tābānī
in ke pairoñ meñ nahīñ umr-e-ravāñ kī zanjīr
un se duniyā ko badalne kī qasam khaa.ī thī
un se ab aañkh milāte hue sharm aatī hai
gum-shuda KHwab shab-e-rafta ke raushan mahtab
aaj ki raat sar-e-baam utar aae hain
gum-shuda chehre mere mazi ke zarrin auraq
ek ek kar ke sar-e-am khule jate hain
mujh se kuchh kahti hain KHamosh nigahen un ki
un ki aankhon mein abhi tak hai wafa ki tanwir
un ke mathe pe abhi tak hai wahi tabani
in ke pairon mein nahin umr-e-rawan ki zanjir
un se duniya ko badalne ki qasam khai thi
un se ab aankh milate hue sharm aati hai
- Book : naqsh-e-bar aab (Pg. 51)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.