ek nazm
raat añdherī kaalā bādal duur tilak vīrānī
ek akelī kashtī jis ke nīche gahrā paanī
lahroñ kī phunkār ke aage kashtī kā man Dole
shivā samundar ke siine pe barkhā motī role
duur kisī vīrān jazīre uupar ullū bole
ullū kī āvāz ko sun ke jaag uThī purvā.ī
raat kā desī shālā oḌhe peḌ se milne aa.ī
shāḳh pe aTkī Daal pe maTkī pattoñ pe lahrā.ī
baat nahīñ thī utnī jitnī phail ga.ī rusvā.ī
raat andheri kala baadal dur tilak virani
ek akeli kashti jis ke niche gahra pani
lahron ki phunkar ke aage kashti ka man Dole
shiwa samundar ke sine pe barkha moti role
dur kisi viran jazire upar ullu bole
ullu ki aawaz ko sun ke jag uThi purwai
raat ka desi shaala oDhe peD se milne aai
shaKH pe aTki Dal pe maTki patton pe lahrai
baat nahin thi utni jitni phail gai ruswai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.