ek nazm sirf tumhaare liye
mujh meñ ātish jo chhupī hai use bhaḌkāne meñ
vasl se ziyāda tire hijr kī ḳhvāhish hai mujhe
jism aur jaan se aage bhī koī duniyā hai
aur un rāhoñ meñ tanhā hī bhaTaknā hai mujhe
aur un rāhoñ meñ tanhā hī bhaTaknā hai mujhe
tujh ko tasḳhīr-e-badan kī hī rahī hai ḳhvāhish
aur maiñ ruuh ke saude ke liye sochtī huuñ
tujh ko mālūm hai jo shai bhī mayassar aa jaa.e
us kī phir qadr kahāñ rahtī hai
maiñ tujhe sauñp duuñ ḳhud ko to ḳhasāra hai bahut
Dūbne ke liye āñkhoñ kā kināra hai bahut
kyā ye mumkin hai ki tū rañg meñ bhī rañg le apne
aur dāman pe mire daaġh bhī koī na lage
vasl ke baad to hairat meñ kamī aatī hai
phir junūñ-ḳhezī kī shiddat meñ kamī aatī hai
hairat-e-ishq kī gum-nām musāfir huuñ mujhe
aisā radd kar mirī hairat meñ izāfa ho jaa.e
aur is ishq kī shiddat meñ izāfa ho jaa.e
mujh mein aatish jo chhupi hai use bhaDkane mein
wasl se ziyaada tere hijr ki KHwahish hai mujhe
jism aur jaan se aage bhi koi duniya hai
aur un rahon mein tanha hi bhaTakna hai mujhe
aur un rahon mein tanha hi bhaTakna hai mujhe
tujh ko tasKHir-e-badan ki hi rahi hai KHwahish
aur main ruh ke saude ke liye sochti hun
tujh ko malum hai jo shai bhi mayassar aa jae
us ki phir qadr kahan rahti hai
main tujhe saunp dun KHud ko to KHasara hai bahut
Dubne ke liye aankhon ka kinara hai bahut
kya ye mumkin hai ki tu rang mein bhi rang le apne
aur daman pe mere dagh bhi koi na lage
wasl ke baad to hairat mein kami aati hai
phir junun-KHezi ki shiddat mein kami aati hai
hairat-e-ishq ki gum-nam musafir hun mujhe
aisa radd kar meri hairat mein izafa ho jae
aur is ishq ki shiddat mein izafa ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.