ek nazm
teii.s baras se vo ghar se bāhar nahīñ niklā
sab darvāze band paḌe haiñ
bāhar kā ḳhauf use sone nahīñ detā
andar gahrī raat chīḳh rahī hai
aur bāhar surḳh āñdhī
ek pāgal kuttā apnī lambī
sūkhtī jiibh laTkā.e
shahr kī saḌkoñ par
teii.s baras se ghuum rahā hai
use DhūñD rahā hai
teis baras se wo ghar se bahar nahin nikla
sab darwaze band paDe hain
bahar ka KHauf use sone nahin deta
andar gahri raat chiKH rahi hai
aur bahar surKH aandhi
ek pagal kutta apni lambi
sukhti jibh laTkae
shahr ki saDkon par
teis baras se ghum raha hai
use DhunD raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.