ek nazm tumhaare nam
ḳhizāñ kī āhaTeñ sun rahī ho
merā jism bujh rahā hai
merī sāñsoñ ke phūl-patte
murjhā rahe haiñ
maiñ vaqt kī shāḳh se
na jaane kab TūTūñ
aur bikhar jā.ūñ
merī kitābeñ bāteñ tasvīreñ
kisī micro film audio yā video cassette par
yā kisī cD meñ
mahfūz kar lo
dekho ab bhī vaqt hai
magar vaqt bahut kam hai
mujhe āḳhirī baar chhū lo
mere ḳhayāl ke siine par sar rakh kar
computer se merī floppy nikāl kar
apne balā.uz ke garebān meñ Daal lo
na jaane kab
ye pahāḌ jañgal shahr samundar pātāl ḳhalā
jinheñ maiñ ne jī bhar ke dekhā tak nahīñ
lakīroñ meñ Dhal kar
ghaTte hue dā.eroñ
ek aise nuqte meñ simaT jaa.eñ
jo apne hī markaz kī gahrā.ī meñ Duub jaa.e
KHizan ki aahaTen sun rahi ho
mera jism bujh raha hai
meri sanson ke phul-patte
murjha rahe hain
main waqt ki shaKH se
na jaane kab TuTun
aur bikhar jaun
meri kitaben baaten taswiren
kisi micro film audio ya wideo cassette par
ya kisi cD mein
mahfuz kar lo
dekho ab bhi waqt hai
magar waqt bahut kam hai
mujhe aaKHiri bar chhu lo
mere KHayal ke sine par sar rakh kar
computer se meri floppy nikal kar
apne balauz ke gareban mein Dal lo
na jaane kab
ye pahaD jangal shahr samundar patal KHala
jinhen main ne ji bhar ke dekha tak nahin
lakiron mein Dhal kar
ghaTte hue daeron
ek aise nuqte mein simaT jaen
jo apne hi markaz ki gahrai mein Dub jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.