ek nazm
tū ne dekhī haiñ faqat merī ye hañstī āñkheñ
aur hañstī huī āñkhoñ meñ shagufta bāteñ
tū kabhī aañkh meñ rakkhī mirī barsāt bhī dekh
mere ashkoñ meñ chhupī hijr kī ik raat bhī dekh
tū ne chāhā hai ki maiñ ḳhvāb banūñgī terā
tū ne dekhā hai faqat phuul sā paikar merā
tū ne dekhā hī nahīñ phuul bikhartā bhī hai
tujh ko ma.alūm nahīñ baaġh ujaḌtā bhī hai
apne va.adoñ kā zarā aap hī tum paas karo
mere ġhamnāk se lamhoñ kā bhī ehsās karo
tu ne dekhi hain faqat meri ye hansti aankhen
aur hansti hui aankhon mein shagufta baaten
tu kabhi aankh mein rakkhi meri barsat bhi dekh
mere ashkon mein chhupi hijr ki ek raat bhi dekh
tu ne chaha hai ki main KHwab banungi tera
tu ne dekha hai faqat phul sa paikar mera
tu ne dekha hi nahin phul bikharta bhi hai
tujh ko malum nahin bagh ujaDta bhi hai
apne wadon ka zara aap hi tum pas karo
mere ghamnak se lamhon ka bhi ehsas karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.