ek nazm
use ham zā.icha kahte the tum tasvīr kahte the
tumhāre un dinoñ kī jab tumhāre dil meñ niilā āsmāñ hogā
tumhāre sāmne hoñgī
sunahrī vādiyāñ ashjār kī rangīñ qatāreñ titliyāñ pariyāñ
kahīñ ḳhvāboñ kī sarhad par tumhārā āshiyāñ hogā
ye mumkin hai tumhāre dam-qadam se jāvedāñ hogā
tumheñ tasvīr pyārī thī
tum us tasvīr kī takmīl meñ masrūf the barsoñ
agar tum chāhte to kal se pahle āsmāñ dil meñ utar aatā vahīñ rahtā
sunahrī vādiyāñ ashjār kī rangīñ qatāreñ titliyāñ pariyāñ
usī gulshan kī ho jātīñ usī āñgan meñ bas jātīñ
jise tum ne banāyā thā
magar tasvīr meñ tum ne
jise ḳhvāboñ kī sarhad par na jaane kyoñ dikhāyā thā
tumhāre dil meñ sannāTā
tumhārā āsmāñ tiira
tumhārī vādiyoñ meñ gūñjtī haiñ barf kī chīḳheñ
kahāñ ashjār kaisī titliyāñ kis des kī pariyāñ
yahāñ tum kaun ho socho
tumhāre zaḳhm hoñge mundamil to maut se hoñge
use hum zaicha kahte the tum taswir kahte the
tumhaare un dinon ki jab tumhaare dil mein nila aasman hoga
tumhaare samne hongi
sunahri wadiyan ashjar ki rangin qataren titliyan pariyan
kahin KHwabon ki sarhad par tumhaara aashiyan hoga
ye mumkin hai tumhaare dam-qadam se jawedan hoga
tumhein taswir pyari thi
tum us taswir ki takmil mein masruf the barson
agar tum chahte to kal se pahle aasman dil mein utar aata wahin rahta
sunahri wadiyan ashjar ki rangin qataren titliyan pariyan
usi gulshan ki ho jatin usi aangan mein bas jatin
jise tum ne banaya tha
magar taswir mein tum ne
jise KHwabon ki sarhad par na jaane kyon dikhaya tha
tumhaare dil mein sannaTa
tumhaara aasman tera
tumhaari wadiyon mein gunjti hain barf ki chiKHen
kahan ashjar kaisi titliyan kis des ki pariyan
yahan tum kaun ho socho
tumhaare zaKHm honge mundamil to maut se honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.