ek nazm
dīvālī kī raat aa.ī hai tum diip jalā.e baiThī ho
ma.asūm umañgoñ ko apne siine se lagā.e baiThī ho
tasvīr ko merī phūloñ kī ḳhushbū meñ basā.e baiThī ho
āñkhoñ ke nashīle Doroñ par kājal ko biThā.e baiThī ho
maiñ duur kahīñ tum se baiThā ik diip kī jānib taktā huuñ
ik bazm sajā.e rakkhī hai ik dard jagā.e rakhtā huuñ
ḳhāmoshī merī sāthī hai aur dekhne vaalā koī nahīñ
ai kaash kahīñ se aa jaate jiine kā bahāna koī nahīñ
diwali ki raat aai hai tum dip jalae baiThi ho
masum umangon ko apne sine se lagae baiThi ho
taswir ko meri phulon ki KHushbu mein basae baiThi ho
aankhon ke nashile Doron par kajal ko biThae baiThi ho
main dur kahin tum se baiTha ek dip ki jaanib takta hun
ek bazm sajae rakkhi hai ek dard jagae rakhta hun
KHamoshi meri sathi hai aur dekhne wala koi nahin
ai kash kahin se aa jate jine ka bahana koi nahin
- Book : Mausam Andar Bahar ke (Pg. 66)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.