Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nazm

Abul Faiz Sahar

ek nazm

Abul Faiz Sahar

MORE BYAbul Faiz Sahar

    ye kaun aa rahā hai

    nigāhoñ meñ vahshat sahrā liye

    aur sar par uThā.e hue

    ġham-e-roz-o-shab siyāhī jangal

    ye chehra hai ki guzarte hue

    vaqt ek ujaaḌ aur bayābān tanhā jazīra

    ye lab haiñ ki banjar zamīnoñ ke patthar

    jahāñ par koī lafz ugtā nahīñ

    ye āñkheñ haiñ koī andhā kuaañ hai

    ki jis meñ koī ḳhvāb qāfila Duub kar mar gayā hai

    ye dast-e-girāñ hai ki barg-e-ḳhizāñ-dīda

    sūkhī huī zard shāḳhoñ pe laTke hue

    ye Tāñgeñ haiñ murda sāras

    jinheñ bhūke pyāse ḳhatarnāk vahshī darinde

    musalsal ghasīTe chale rahe haiñ

    ye kaun aa raha hai

    nigahon mein wahshat ka sahra liye

    aur sar par uThae hue

    gham-e-roz-o-shab ki siyahi ka jangal

    ye chehra hai ya ki guzarte hue

    waqt ka ek ujaD aur bayaban tanha jazira

    ye lab hain ki banjar zaminon ke patthar

    jahan par koi lafz ugta nahin

    ye aankhen hain ya koi andha kuan hai

    ki jis mein koi KHwab ka qafila Dub kar mar gaya hai

    ye dast-e-giran hai ki barg-e-KHizan-dida

    sukhi hui zard shaKHon pe laTke hue

    ye Tangen hain ya murda saras

    jinhen bhuke pyase KHatarnak wahshi darinde

    musalsal ghasiTe chale ja rahe hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now