ek niDhaal nazm
tāliyoñ kī guuñj
zaa.il ho chukī
haal ḳhālī ho chukā
daad ke bakse ulaT kar chal diye
log merī chīḳhtī nazmoñ kī
bolī de chuke
maiñ jam.a tafrīq kī mad meñ
binā tartīb sāñsoñ kī
ghuTan se chuur huuñ
kaash dhartī āsmāñ kī
vus.atoñ ko jāntī
ḳhvāb meñ pinhāñ
haqīqat ko haqīqat māntī
haañ magar
in dāstānoñ kā sikandar kaun hai
kaun hai
uftādgī kī sā.atoñ kā ham-navā
kaun hai
tafhīm kī tishna-labī kā rāzdāñ
kaun hai
koī nahīñ
vo jo aa.e the
vo aa kar jā chuke
taliyon ki gunj
zail ho chuki
haal KHali ho chuka
dad ke bakse ulaT kar chal diye
log meri chiKHti nazmon ki
boli de chuke
main jama tafriq ki mad mein
bina tartib sanson ki
ghuTan se chur hun
kash dharti aasman ki
wusaton ko jaanti
KHwab mein pinhan
haqiqat ko haqiqat manti
han magar
in dastanon ka sikandar kaun hai
kaun hai
uftadgi ki saaton ka ham-nawa
kaun hai
tafhim ki tishna-labi ka raazdan
kaun hai
koi nahin
wo jo aae the
wo aa kar ja chuke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.