ek nuclear nazm
jahāñ ko phir batā.eñge
samundar bhaap ban kar kis tarah uḌte haiñ āñkhoñ se
badan shaq hote hote kis tarah pātāl bante haiñ
nafas ke shahr kaise reza reza ḳhaak hote haiñ
masāmoñ se ubal kar āsmāñ kaise sulagte haiñ
adam mashrūm ban kar kaise ḳhaliyoñ se ubhartā hai
ki ukhḌī irtiqā kī buuñd meñ sarshār ye putle
hamāre do jahānoñ kā muqaddar sochne vaale
inhīñ baunoñ kī ḳhātir laa.e haiñ ab ham sukūt apnā
ki ham ḳhāmosh baiThe haiñ
ki larzāñ irtiqā ke ruḳh pe parda Dālte haiñ ham
ki ab bhī ruuh se hiir o shīmā khañgālte haiñ ham
jahan ko phir bataenge
samundar bhap ban kar kis tarah uDte hain aankhon se
badan shaq hote hote kis tarah patal bante hain
nafas ke shahr kaise reza reza KHak hote hain
masamon se ubal kar aasman kaise sulagte hain
adam mashrum ban kar kaise KHaliyon se ubharta hai
ki ukhDi irtiqa ki bund mein sarshaar ye putle
hamare do jahanon ka muqaddar sochne wale
inhin baunon ki KHatir lae hain ab hum sukut apna
ki hum KHamosh baiThe hain
ki larzan irtiqa ke ruKH pe parda Dalte hain hum
ki ab bhi ruh se hir o shima khangalte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.