ek nuqta
merā jī chāhtā hai
nazm likhūñ
us ke liye
us kī zulfoñ ke liye
us kī āñkhoñ ke liye
us ke andāz-e-takallum ke liye
jo mirī ruuh kī taskīn kā sāmān banā
us ke har zāviya-e-jism kī ḳhātir
jo mire jism kī taz.īn kī pahchān banā
maiñ magar sochtā huuñ
jo sarāpā hai ġhazal
us ke liye kyā likkhūñ
jo samundar hai use kis tarah dariyā likkhūñ
aur dariyā ko jo likkhūñ bhī to qatra likhūñ
aur qatre ko sameTūñ bhī to nuqta likhūñ
maiñ ajab soch meñ huuñ us ke liye kyā likhūñ
mera ji chahta hai
nazm likhun
us ke liye
us ki zulfon ke liye
us ki aankhon ke liye
us ke andaz-e-takallum ke liye
jo meri ruh ki taskin ka saman bana
us ke har zawiya-e-jism ki KHatir
jo mere jism ki tazin ki pahchan bana
main magar sochta hun
jo sarapa hai ghazal
us ke liye kya likkhun
jo samundar hai use kis tarah dariya likkhun
aur dariya ko jo likkhun bhi to qatra likhun
aur qatre ko sameTun bhi to nuqta likhun
main ajab soch mein hun us ke liye kya likhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.