ek pagal ki id
sunā hai iid aa.ī thī
sunā hai merī miTTī ko vatan laayā gayā us din
sunā hai mere a.azā ne adākārī bahut achchhī tarah kī thī
nazar ne chāñd bhī dekhā
zabāñ ne saarī duniyā ko mubārakbādiyāñ bhī diiñ
badan ne sub.h-dam uTh kar nahāyā bhī
na.e kapḌe bhī pahne itr mal kar īd-gah jā kar dogānā bhī adā kar lī
gale ne bhī gale milne kā ik dastūr-e-derīna bahut jam kar nibhāyā thā
siva.iyāñ shiir khāne milne-julne iid kī ḳhushiyāñ manāne kī sabhī rasmeñ adā kī thiiñ
magar ye kaun pāgal hai
mirī miTTī ke andar siskiyāñ bhartā huā pāgal
ajab hasrat se kahtā hai ki iid aa.ī nahīñ ab tak
suna hai id aai thi
suna hai meri miTTi ko watan laya gaya us din
suna hai mere aaza ne adakari bahut achchhi tarah ki thi
nazar ne chand bhi dekha
zaban ne sari duniya ko mubarakbaadiyan bhi din
badan ne subh-dam uTh kar nahaya bhi
nae kapDe bhi pahne itr mal kar id-gah ja kar dogana bhi ada kar li
gale ne bhi gale milne ka ek dastur-e-derina bahut jam kar nibhaya tha
siwaiyan shir khane milne-julne id ki KHushiyan manane ki sabhi rasmen ada ki thin
magar ye kaun pagal hai
meri miTTi ke andar siskiyan bharta hua pagal
ajab hasrat se kahta hai ki id aai nahin ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.