ek paidal chalne wale dost ka nauha
hujūm se bach ke
suune suune ḳhamosh rastoñ pe chalne vaalā
vo us zamāne meñ pā-pyāda musāfirat kā amiin
rasta badal chukā hai
nazar abas us kā naqsh
mānūs rāstoñ par
talāsh kar ke chauñktī hai
mujhe ḳhabar hai vo jā chukā hai
vo jā-ba-jā raah meñ ubhartī shabīh us kī
nigāh kī tishnagī ne misl-e-sarāb ījād kar rakhī hai
jab āḳhirī baar us ko dekhā
to us kā rasta badal chukā thā
har ik tarīqa badal chukā thā
hujūm se bach ke chalne vaalā
hujūm ke saath chal rahā thā
jab āḳhirī baar us ko dekhā
to umr bhar kī musāfirat ke ḳhilāf
us ko savār dekhā
aur us ke pahlū meñ pā-pyāda hujūm ko sogvār dekhā
hujum se bach ke
sune sune KHamosh raston pe chalne wala
wo us zamane mein pa-pyaada musafirat ka amin
rasta badal chuka hai
nazar abas us ka naqsh
manus raston par
talash kar ke chaunkti hai
mujhe KHabar hai wo ja chuka hai
wo ja-ba-ja rah mein ubharti shabih us ki
nigah ki tishnagi ne misl-e-sarab ijad kar rakhi hai
jab aaKHiri bar us ko dekha
to us ka rasta badal chuka tha
har ek tariqa badal chuka tha
hujum se bach ke chalne wala
hujum ke sath chal raha tha
jab aaKHiri bar us ko dekha
to umr bhar ki musafirat ke KHilaf
us ko sawar dekha
aur us ke pahlu mein pa-pyaada hujum ko sogwar dekha
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 140)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.