ek paigham apne nam
Interesting Fact
2001
hindū muslim bhed miTā
sab se apnī yaarī rakh
chāhe apnī jaan gañvā
aan vatan kī pyārī rakh
dushman se bhī yaarī rakh
aisī bhī dildārī rakh
māyūsī se mat ghabrā
koshish apnī jaarī rakh
pahle denī farz nibhā
pīchhe duniyā-dārī rakh
duur safar par jaanā hai
chalne kī tayyārī rakh
khoTe sikke mat apnā
āñkhoñ meñ bedārī rakh
Thoñk-bajā kar sab ko dekh
itnī to hushyārī rakh
tere kaam ye ā.eñgī
bāteñ dhyān meñ saarī rakh
chāhe jitne diip jalā
ek galī añdhiyārī rakh
'nūr' ġhazal ke phuul khilā
mashq-e-suḳhan ko jaarī rakh
lafzoñ ko gul-e-rez banā
nazm-o-ġhazal meyārī rakh
hindu muslim bhed miTa
sab se apni yari rakh
chahe apni jaan ganwa
aan watan ki pyari rakh
dushman se bhi yari rakh
aisi bhi dildari rakh
mayusi se mat ghabra
koshish apni jari rakh
pahle deni farz nibha
pichhe duniya-dari rakh
dur safar par jaana hai
chalne ki tayyari rakh
khoTe sikke mat apna
aankhon mein bedari rakh
Thonk-baja kar sab ko dekh
itni to hushyari rakh
tere kaam ye aaengi
baaten dhyan mein sari rakh
chahe jitne dip jala
ek gali andhiyari rakh
'nur' ghazal ke phul khila
mashq-e-suKHan ko jari rakh
lafzon ko gul-e-rez bana
nazm-o-ghazal meyari rakh
- Book : Shahar Ki Faseelon Se (Pg. 108)
- Author : Noor Muneeri
- Publication : Khan Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.