ek phul sa bachcha
ek din thakā-māñda
ek shaam be-ma.anī
ek raat hairāñ sī
mere saath ye tīnoñ
mere ghar meñ rahte haiñ
ek dūsre se kam
apne aap se ham log
baat karte rahte haiñ
uljhe suljhe lamhoñ kī
vaqt chādareñ bun kar
ham ko Dhāñp detā hai
dekhtā nahīñ muḌ kar
jald jald kaTtā hai
ham jo dekhnā chāheñ
vo nazar churātā hai
ek phuul sā bachcha
be-ḳhabar niDar sachchā
mere ghar ke kamroñ meñ
aa ke ġhul machātā hai
munjamid ḳhamoshī ko
toḌtī hañsī us kī
is tarah bikhartī hai
jaise Thahre paanī meñ
koī kañkarī pheñke
aks jhuum jhuum uTThe
mauj mauj lahrā.e
ek din thakā-māñda
jaag jaag jaatā hai
ek shaam be-ma.anī
harf harf sajtī hai
ek raat hairāñ sī
aañkh muuñd letī hai
ek din thaka-manda
ek sham be-mani
ek raat hairan si
mere sath ye tinon
mere ghar mein rahte hain
ek dusre se kam
apne aap se hum log
baat karte rahte hain
uljhe suljhe lamhon ki
waqt chadaren bun kar
hum ko Dhanp deta hai
dekhta nahin muD kar
jald jald kaTta hai
hum jo dekhna chahen
wo nazar churaata hai
ek phul sa bachcha
be-KHabar niDar sachcha
mere ghar ke kamron mein
aa ke ghul machata hai
munjamid KHamoshi ko
toDti hansi us ki
is tarah bikharti hai
jaise Thahre pani mein
koi kankari phenke
aks jhum jhum uTThe
mauj mauj lahrae
ek din thaka-manda
jag jag jata hai
ek sham be-mani
harf harf sajti hai
ek raat hairan si
aankh mund leti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.