ek pur-asrar sada
us ke hañsne aur rone kī sadā
ho ga.ī thī
kuchh dinoñ se ek sī
ab vo aksar din meñ sotā
aur shab-bhar jāgtā
ghūmtā thā shahr kī saḌkoñ pe tanhā sub.h tak
ik sadā
suunī fazāoñ meñ lagātā
guuñj suntā
phir lagātā
chaltā jaatā
be-takāñ
log ab sote the rātoñ ko na shāyad jāgte
ik ajab aalam thā
sunte the jūñhī āvāz us kī duur se
vo jo masrūf-e-fuġhāñ the sochte
hai koī bad-baḳht un jaisā
kisī TeḌhe safar meñ
be-amāñ
aur jo sarshār the mauj-e-ziyā kī raah meñ
vo bhī zarf-e-sar-ḳhushī kī daad dete the use
ek sannāTā hai ab har rah-guzar par chār-sū
jāñ-ba-haq, kuchh roz guzre
ho gayā vo shaḳhs
ye afvāh hai
kyā ajab aafat makīnoñ ke saroñ par aa paḌī
apne ġham kī aur ḳhushī kī
is sadā ke faiz se
mil ga.ī thī un ko ik pahchān sī
kyā huā ye hādsa kaise huā
vo bhī āḳhir kho ga.ī
us ke hansne aur rone ki sada
ho gai thi
kuchh dinon se ek si
ab wo aksar din mein sota
aur shab-bhar jagta
ghumta tha shahr ki saDkon pe tanha subh tak
ek sada
suni fazaon mein lagata
gunj sunta
phir lagata
chalta jata
be-takan
log ab sote the raaton ko na shayad jagte
ek ajab aalam tha
sunte the junhi aawaz us ki dur se
wo jo masruf-e-fughan the sochte
hai koi bad-baKHt un jaisa
kisi TeDhe safar mein
be-aman
aur jo sarshaar the mauj-e-ziya ki rah mein
wo bhi zarf-e-sar-KHushi ki dad dete the use
ek sannaTa hai ab har rah-guzar par chaar-su
jaan-ba-haq, kuchh roz guzre
ho gaya wo shaKHs
ye afwah hai
kya ajab aafat makinon ke saron par aa paDi
apne gham ki aur KHushi ki
is sada ke faiz se
mil gai thi un ko ek pahchan si
kya hua ye hadsa kaise hua
wo bhi aaKHir kho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.