ek purana shahr
mohr-ba-lab vīrān darīche darvāze sunsān
duur pahāḌoñ kī choTī par shāhī goristān
niim kī shāḳhoñ meñ uljhī hai kankavve kī kaañp
dīvāroñ par reñg rahā hai shikastagī kā saañp
saḌkeñ rah-gīroñ par Dāleñ ThanDī sard nigāh
sharm-e-uryānī se chup hai būḌhī shahr-panāh
vaqt ke qadmoñ kī aahaT detī hai sunā.ī aise
sannāTe meñ bhaTak rahī hoñ biitī sadiyāñ jaise
ik ik lamha DhūñD rahā hai khoī huī rānā.ī
dauḌ rahā hai pīchhe ko ba-vasf-e-shikasta-pā.ī
raah meñ lekin kuchh dīvāreñ aan khaḌī huī haiñ
dīvāreñ jin par nañgī sañgīneñ gaḌī huī haiñ
un se sar Takrāte lamhoñ ke ye pagle saa.e
mamlikat-e-fardā kā rasta kaun unheñ dikhlā.e
mohr-ba-lab viran dariche darwaze sunsan
dur pahaDon ki choTi par shahi goristan
nim ki shaKHon mein uljhi hai kankawwe ki kanp
diwaron par reng raha hai shikastagi ka sanp
saDken rah-giron par Dalen ThanDi sard nigah
sharm-e-uryani se chup hai buDhi shahr-panah
waqt ke qadmon ki aahaT deti hai sunai aise
sannaTe mein bhaTak rahi hon biti sadiyan jaise
ek ek lamha DhunD raha hai khoi hui ranai
dauD raha hai pichhe ko ba-wasf-e-shikasta-pai
rah mein lekin kuchh diwaren aan khaDi hui hain
diwaren jin par nangi sanginen gaDi hui hain
un se sar Takraate lamhon ke ye pagle sae
mamlikat-e-farda ka rasta kaun unhen dikhlae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.