ek qalandar ke nam
bahā.e ilm ke dariyā
sarāboñ ko haqīqat dī
gumāñ kī raat ne paa.ī
yaqīñ kī raushnī tum se
tumhārī fikr ne bāñg-e-darā ban kar
jagāyā so.e hue zehnoñ ko
rahe koshāñ
ki ho ta.alīm-e-nisvāñ aam millat meñ
har firqe meñ ghar āñgan meñ āñchal meñ
simaT aa.e na.ī tahzīb
jin meñ parvarish paa.e hue phūloñ kī
ḳhushbū ko zamāne ke muqābil faḳhr se rakh kar
kareñ hindostāñ kā naam ūñchā
ye maqsad thā tumhārī zindagī kā
tumhīñ ne haath rakkhā nabz-e-daurāñ par
bane tiryāk is zahr-e-halāhil kā
jahālat kī rag-o-pai meñ jo gardish kar rahā thā
rakhā ta.alīm ke dast-e-hinā.ī par charāġhoñ ko
banāyā āñchaloñ se parcham-e-fat.h-o-zafar tum ne
luTā.e maḳhzan-e-ta.alīm se la.al-o-gohar tum ne
tumhīñ ne regzāroñ ke
mizājoñ ko badal Daalā
utāre haiñ tumhīñ ne qāfile
ḳhush-rang phūloñ ke
jalā kar vahshatoñ kī shaam meñ qindīl-e-āgāhī
jahālat ke barahna jism ko ilm-o-hunar ke
pairāhan baḳhshe
qadāmat ke añdheroñ se nikālā qaum ko tum ne
tamaddun ke charāġhoñ ko jalāyā qarya qarya bastī bastī
hind ke ghar ghar meñ tum ne raushnī bhar dī
bahae ilm ke dariya
sarabon ko haqiqat di
guman ki raat ne pai
yaqin ki raushni tum se
tumhaari fikr ne bang-e-dara ban kar
jagaya soe hue zehnon ko
rahe koshan
ki ho talim-e-niswan aam millat mein
har firqe mein ghar aangan mein aanchal mein
simaT aae nai tahzib
jin mein parwarish pae hue phulon ki
KHushbu ko zamane ke muqabil faKHr se rakh kar
karen hindostan ka nam uncha
ye maqsad tha tumhaari zindagi ka
tumhin ne hath rakkha nabz-e-dauran par
bane tiryak is zahr-e-halahil ka
jahaalat ki rag-o-pai mein jo gardish kar raha tha
rakha talim ke dast-e-hinai par charaghon ko
banaya aanchalon se parcham-e-fath-o-zafar tum ne
luTae maKHzan-e-talim se lal-o-gohar tum ne
tumhin ne regzaron ke
mizajon ko badal Dala
utare hain tumhin ne qafile
KHush-rang phulon ke
jala kar wahshaton ki sham mein qindil-e-agahi
jahaalat ke barahna jism ko ilm-o-hunar ke
pairahan baKHshe
qadamat ke andheron se nikala qaum ko tum ne
tamaddun ke charaghon ko jalaya qarya qarya basti basti
hind ke ghar ghar mein tum ne raushni bhar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.