din Dhalā
shaam huī
shahr-e-nā-pursāñ kī manhūs ghaḌī
qissa-go qatl huā shaam huī
surḳh īñToñ kī havelī ki baḌī dilkash thī
aaj tārāj huī
ek ilzām thā gustāḳhī kā
aur balvā.ī hazāroñ meñ
vahāñ ḳhuun kī bū sūñghte aa pahuñche the
lashkarī apnī kamīñ-gāhoñ meñ mahfūz khaḌe hañste the
gurg-e-āvāra ko ik luqma-e-tar Dālte the
surḳh īñToñ kī havelī meñ naqab lagtā thā
chob-dāroñ ko nayā hukm ye thā
is qadar zor se naqqārā baje
koī bhī chīḳh
koī aah
samā'at ke qarīb aa na sake
ḳhilqat-e-shahr ki āzurda-o-bīmār-o-nahīf
apnī qismat pe bas afsos kiyā kartī thī
haañ kisī ko bhī ye mā'lūm na thā
shahr-e-nā-pursāñ kī āshob-zada galiyoñ meñ
vaqt kī dhuul jamegī
to ka.ī qissa-go
is kahānī ko phir ik baar sunāne ke liye utreñge
shahr-e-nā-pursāñ kī manhūs ghaḌī
qissa-go qatl huā
shaam huī
din Dhala
sham hui
shahr-e-na-pursan ki manhus ghaDi
qissa-go qatl hua sham hui
surKH inTon ki haweli ki baDi dilkash thi
aaj taraj hui
ek ilzam tha gustaKHi ka
aur balwai hazaron mein
wahan KHun ki bu sunghte aa pahunche the
lashkari apni kamin-gahon mein mahfuz khaDe hanste the
gurg-e-awara ko ek luqma-e-tar Dalte the
surKH inTon ki haweli mein naqab lagta tha
chob-daron ko naya hukm ye tha
is qadar zor se naqqara baje
koi bhi chiKH
koi aah
sama'at ke qarib aa na sake
KHilqat-e-shahr ki aazurda-o-bimar-o-nahif
apni qismat pe bas afsos kiya karti thi
han kisi ko bhi ye ma'lum na tha
shahr-e-na-pursan ki aashob-zada galiyon mein
waqt ki dhul jamegi
to kai qissa-go
is kahani ko phir ek bar sunane ke liye utrenge
shahr-e-na-pursan ki manhus ghaDi
qissa-go qatl hua
sham hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.