ek raat aaegi
mujhe hai aaj bhī ehsās apne maazī kā
base hue haiñ vo jalve mirī nigāhoñ meñ
huā hai sahl mujhe apnī zindagī kā safar
tumhārī yaad se vo raushnī hai rāhoñ meñ
mirī hayāt bhalā kaise bhuul saktī hai
mujhe tumhārī mohabbat ne jo maqām diyā
tasavvurāt kī bazm-e-nashāt meñ kho kar
tumhīñ ne mehr-o-vafā kā mujhe payām diyā
maiñ jāntā huuñ ki ai jān-e-e'tibār-e-vafā
tumhīñ ne mere liye ashk bhī bahā.e haiñ
tumhīñ ne merī umañgoñ kī rahnumā.ī kī
tumhīñ ne merī Dagar meñ diye jalā.e haiñ
tumhīñ qarīb raheñ mere talḳh lamhoñ meñ
tumhīñ ne gardish-e-daurāñ meñ haath thaam liyā
magar ye sach hai mirī jaan maiñ ne har lamha
tumheñ ko yaad kiyā aur tumhārā naam liyā
mirī vafā meñ koī farq aa sakā na kabhī
magar sila na milā ashk-e-ġham bahāne kā
taḌap taḌap ke guzārī hai zindagī maiñ ne
mujhe kabhī na milā vaqt muskurāne kā
mirā sukūñ mirā sabr-o-qarār chhīn liyā
mire nasīb kī bargashtagī ko kyā kahiye
tamām-umr mirī rahguzar pe chhā.ī rahī
ġham-e-hayāt kī us tīrgī ko kyā kahiye
magar yaqīn karo ek raat aa.egī
laboñ pe sham-e-tabassum jalā.eñge ham bhī
fareb-e-ahd-e-sitam do-ghaḌī kā mehmāñ hai
phir apnī bazm-e-tamannā sajā.eñge ham bhī
mujhe hai aaj bhi ehsas apne mazi ka
base hue hain wo jalwe meri nigahon mein
hua hai sahl mujhe apni zindagi ka safar
tumhaari yaad se wo raushni hai rahon mein
meri hayat bhala kaise bhul sakti hai
mujhe tumhaari mohabbat ne jo maqam diya
tasawwuraat ki bazm-e-nashat mein kho kar
tumhin ne mehr-o-wafa ka mujhe payam diya
main jaanta hun ki ai jaan-e-e'tibar-e-wafa
tumhin ne mere liye ashk bhi bahae hain
tumhin ne meri umangon ki rahnumai ki
tumhin ne meri Dagar mein diye jalae hain
tumhin qarib rahen mere talKH lamhon mein
tumhin ne gardish-e-dauran mein hath tham liya
magar ye sach hai meri jaan main ne har lamha
tumhein ko yaad kiya aur tumhaara nam liya
meri wafa mein koi farq aa saka na kabhi
magar sila na mila ashk-e-gham bahane ka
taDap taDap ke guzari hai zindagi main ne
mujhe kabhi na mila waqt muskurane ka
mera sukun mera sabr-o-qarar chhin liya
mere nasib ki bargashtagi ko kya kahiye
tamam-umr meri rahguzar pe chhai rahi
gham-e-hayat ki us tirgi ko kya kahiye
magar yaqin karo ek raat aaegi
labon pe sham-e-tabassum jalaenge hum bhi
fareb-e-ahd-e-sitam do-ghaDi ka mehman hai
phir apni bazm-e-tamanna sajaenge hum bhi
- Book : Dard aashna (Pg. 40)
- Author : Abdullah Sajid
- Publication : Abdullah Sajid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.