ek raushan jawan justuju
justujū kā niDar qāfila
mish.aleñ thaam kar, raat ko chīrtā
hañstā gaatā huaa, apnī manzil kī jānib ravāna huā
sab ke chehroñ par raushan huiiñ kāvisheñ
khojī āñkhoñ meñ jhilmil sitāre jale
kitnī raushan fazā kitnī raushan fazā!!
aao apne qadam tez kar leñ ki vo sāmne apnī mehnat kā paudā tanāvar shajar ban gayā
par ye raushan fazā meñ dhundalkā sā kyuuñ chhā gayā
(mish.aloñ ko jalā.e rakho sāthiyo, giit gaate raho, aage baḌhte raho)
ek chamkīlā gosha dikhā.ī nahīñ de rahā, kin añdheroñ kī faujoñ kā hamla huā
(mish.aloñ ko jalā.e rakho)
manzileñ to qarīb aa ga.iiñ
phir ye qadmoñ meñ beḌī sī kyaa!
phir ye āñkhoñ pe bādal se kyuuñ
mish.aloñ kī qatāreñ rukīñ (aur chalte hue saa.e bhī tham ga.e)
giit sab tauq-e-gardan hue
qāfila dā.era ban gayā jhuk gayā ro diyā
ek manzar sadā ke liye giilī āñkhoñ meñ zinda huā
ek baazū girā
ek mish.al bujhī
ek raushan javāñ justujū so ga.ī
ek chamkīlā gosha añdherā huā
justuju ka niDar qafila
mishalen tham kar, raat ko chirta
hansta gata hua, apni manzil ki jaanib rawana hua
sab ke chehron par raushan huin kawishen
khoji aankhon mein jhilmil sitare jale
kitni raushan faza kitni raushan faza!!
aao apne qadam tez kar len ki wo samne apni mehnat ka pauda tanawar shajar ban gaya
par ye raushan faza mein dhundalka sa kyun chha gaya
(mishalon ko jalae rakho sathiyo, git gate raho, aage baDhte raho)
ek chamkila gosha dikhai nahin de raha, kin andheron ki faujon ka hamla hua
(mishalon ko jalae rakho)
manzilen to qarib aa gain
phir ye qadmon mein beDi si kya!
phir ye aankhon pe baadal se kyun
mishalon ki qataren rukin (aur chalte hue sae bhi tham gae)
git sab tauq-e-gardan hue
qafila daera ban gaya jhuk gaya ro diya
ek manzar sada ke liye gili aankhon mein zinda hua
ek bazu gira
ek mishal bujhi
ek raushan jawan justuju so gai
ek chamkila gosha andhera hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.