ek raushni
ek raushnī
be-had shaffāf
bīmār raushniyoñ ke bojh-tale dabī huī
rihā.ī kī koshish meñ masrūf
ummīd ke ziine par khaḌī
mujhe dekhtī hai
merī taraf saraktī hai
apnā haath merī taraf baḌhātī hai
lekin phisal kar
añdheroñ meñ
gir jaatī hai
andhī raushnī
mere maflūj haath dekhne se ma.azūr raushnī
ek raushni
be-had shaffaf
bimar raushniyon ke bojh-tale dabi hui
rihai ki koshish mein masruf
ummid ke zine par khaDi
mujhe dekhti hai
meri taraf sarakti hai
apna hath meri taraf baDhati hai
lekin phisal kar
andheron mein
gir jati hai
andhi raushni
mere mafluj hath dekhne se mazur raushni
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 355)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.