ek ruKH
vo furāt ke sāhil par hoñ yā kisī aur kināre par
saare lashkar ek tarah ke hote haiñ
saare ḳhanjar ek tarah ke hote haiñ
ghoḌoñ kī Tāpoñ meñ roñdī huī raushnī
dariyā se maqtal tak phailī huī raushnī
saare manzar ek tarah ke hote haiñ
aise har manzar ke ba.ad ik sannāTā chhā jaatā hai
ye sannāTā tabl-o-alam kī dahshat ko khā jaatā hai
sannāTā fariyād kī lai hai ehtijāj kā lahja hai
ye koī aaj kī baat nahīñ hai bahut purānā qissa hai
har qisse meñ sabr ke tevar ek tarah ke hote haiñ
vo furāt ke sāhil par hoñ yā kisī aur kināre par
saare lashkar ek tarah ke hote haiñ
wo furaat ke sahil par hon ya kisi aur kinare par
sare lashkar ek tarah ke hote hain
sare KHanjar ek tarah ke hote hain
ghoDon ki Tapon mein rondi hui raushni
dariya se maqtal tak phaili hui raushni
sare manzar ek tarah ke hote hain
aise har manzar ke baad ek sannaTa chha jata hai
ye sannaTa tabl-o-alam ki dahshat ko kha jata hai
sannaTa fariyaad ki lai hai ehtijaj ka lahja hai
ye koi aaj ki baat nahin hai bahut purana qissa hai
har qisse mein sabr ke tewar ek tarah ke hote hain
wo furaat ke sahil par hon ya kisi aur kinare par
sare lashkar ek tarah ke hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.