ek saat
mehrbāñ saa.at ne
apnī god meñ
phūloñ kā guldasta sajāyā
havāoñ ko bulāyā
aur kahā dekho
zamīñ se āsmāñ tak
hadd-e-taḳhayyul-o-bayāñ tak
makāñ se lā-makāñ tak
tum jahāñ tak jaao
merī ḳhushbueñ hamrāh le jaao
ki imshab arsh se aisā sitāra maiñ ne paayā
ki ghar merā munavvar ho gayā
aaj hī ke din hamāre dar pe sūraj ne sadā dī thī
yahī vo din hai jab
ham par hamāre ghar ke darvāze khule the
mehrban saat ne
apni god mein
phulon ka guldasta sajaya
hawaon ko bulaya
aur kaha dekho
zamin se aasman tak
hadd-e-taKHayyul-o-bayan tak
makan se la-makan tak
tum jahan tak jao
meri KHushbuen hamrah le jao
ki imshab arsh se aisa sitara main ne paya
ki ghar mera munawwar ho gaya
aaj hi ke din hamare dar pe suraj ne sada di thi
yahi wo din hai jab
hum par hamare ghar ke darwaze khule the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.