Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek sahab aur nujumi

Syed Hashmat Sohail

ek sahab aur nujumi

Syed Hashmat Sohail

MORE BYSyed Hashmat Sohail

    ek sāhib ne nujūmī se kahā ye to batā

    kah rahā hai kyā sitāra ab mirī taqdīr

    hotī hai dā.īñ hathelī meñ mire khujlī bahut

    ye batā merā muqaddar kyā mujhe dikhlā.egā

    zā.icha dekhā nujūmī ne to batlāyā unheñ

    ye nishānī hai tujhe paisa bahut mil jā.egā

    phir kahā bā.īñ hathelī meñ bhī khujlī hai bahut

    to kahā ki sab ye paisa ḳharch bhī ho jā.egā

    phir kahā ki dāhine talve meñ khujlī hai bahut

    to ye batlāyā ki lambe safar par jā.egā

    phir kahā ki baa.eñ talve meñ bhī khujlī hai bahut

    to kahā us safar se jald vāpas āye.gā

    phir kahā ki piiTh meñ bhī mere khujlī hai bahut

    tab nujūmī ne bahut jhuñjhlā ke ye us se kahā

    kahāñ se aa gayā hai kaan khāne ke liye

    tujh ko ḳhārish maraz hai doctor ke paas

    ek sahib ne nujumi se kaha ye to bata

    kah raha hai kya sitara ab meri taqdir ka

    hoti hai dain hatheli mein mere khujli bahut

    ye bata mera muqaddar kya mujhe dikhlaega

    zaicha dekha nujumi ne to batlaya unhen

    ye nishani hai tujhe paisa bahut mil jaega

    phir kaha bain hatheli mein bhi khujli hai bahut

    to kaha ki sab ye paisa KHarch bhi ho jaega

    phir kaha ki dahine talwe mein khujli hai bahut

    to ye batlaya ki tu lambe safar par jaega

    phir kaha ki baen talwe mein bhi khujli hai bahut

    to kaha tu us safar se jald wapas aayega

    phir kaha ki piTh mein bhi mere khujli hai bahut

    tab nujumi ne bahut jhunjhla ke ye us se kaha

    tu kahan se aa gaya hai kan khane ke liye

    tujh ko KHarish ka maraz hai doctor ke pas ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now