ek sahafi se
na hindū na muslim bol
mujrim ko bas mujrim bol
mat kos faqat ik tabqe ko
har zālim ko zālim bol
kyoñ mulzim ke maz.hab kā hai
zikr hamesha lāzim bol
kis ke haath hai Dorī terī
kis kā hai tū ḳhādim bol
kis ke dhan se huī hai terī
jhūTī channel qaa.im bol
kyoñ nafrat phailātā hai tū
ai channel ke nāzim bol
kyoñ ugle tū aag hamesha
kabhī to bol mulā.im bol
kaise kaheñ sahāfī tujh ko
ai chamcha-e-hākim bol
kab jāgegā terā zamīr
kab hogā tū nādim bol
na hindu na muslim bol
mujrim ko bas mujrim bol
mat kos faqat ek tabqe ko
har zalim ko zalim bol
kyon mulzim ke mazhab ka hai
zikr hamesha lazim bol
kis ke hath hai Dori teri
kis ka hai tu KHadim bol
kis ke dhan se hui hai teri
jhuTi channel qaim bol
kyon nafrat phailata hai tu
ai channel ke nazim bol
kyon ugle tu aag hamesha
kabhi to bol mulaim bol
kaise kahen sahafi tujh ko
ai chamcha-e-hakim bol
kab jagega tera zamir
kab hoga tu nadim bol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.