ek sahra aasman se wasia
ek sahrā āsmān se vasī.a
ek samandar
is vishāl samandar meñ
ek haath laraztā huā ret ke chand zarroñ ko
muTThī meñ dabā.e
ek chehra
zard pazhmurda kumhlāyā huā
sisaktā rahā rotā rahā
uljhā huā ḳhaufnāk maazī kī yādoñ meñ
jaal buntā rahā
zehn meñ
fāsle dauḌte rahe
simaTte rahe
pighalte rahe
aur isī kashmakash meñ
ek safīna duub gayā
is vishāl samundar meñ
ek sahra aasman se wasia
ek samandar
is wishaal samandar mein
ek hath larazta hua ret ke chand zarron ko
muTThi mein dabae
ek chehra
zard pazhmurda kumhlaya hua
sisakta raha rota raha
uljha hua KHaufnak mazi ki yaadon mein
jal bunta raha
zehn mein
fasle dauDte rahe
simaTte rahe
pighalte rahe
aur isi kashmakash mein
ek safina dub gaya
is wishaal samundar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.