ek sawal
qissa hai ye do saal pahle kā
ik ma.asūm sī bachchī ke bachpane kā
pūchhā mujh se beTī kī beTī ne
ya.anī pyārī sī ik navāsī ne
naanū kabhī jāḌoñ meñ kabhī garmī meñ
aur kabhī tez mūslā-dhār bārish meñ
kyā kyā kahāniyāñ aap mujhe sunātī haiñ
sunte sunte maiñ kabhī so jaatī huuñ
kabhī mahv-e-hairat banī taḳhayyul meñ kho jaatī huuñ
merā nanhā sā zehn māyūs sā rah jaatā hai
qissa-e-yūsuf kī zuleḳhā to bilkul hī bhātī nahīñ
haañ yūsuf kī mohabbat meñ un ke baabā kā ronā dil dukhātā hai
kashtī-e-nūh meñ jānvaroñ kā hujūm uf allāh
muusā kī chhaḌī saañp ban jaanā bahut Darātā hai
aaj mausam to baḌā garm hai aur bijlī bhī gul
maiñ aaj aap se ik savāl pūchhtī huuñ naanū
duniyā gar na ghūmtī to ye mausam-e-garmā kaise aatā
baaġh meñ phūloñ kī bahār sardiyoñ meñ hī kyoñ aatī hai
jannat kā manzar to baḌā ḳhushnumā batāyā aap ne
allāh to baḌā rahīm-o-karīm hai to phir jahannum kyoñ banā.ī
justujū hai ye mujhe ki ādam-o-havvā jo duniyā meñ aa.e
kaun sī rut chal rahī thī aur kaun sā thā mausam
zamīñ tap rahī thī yā sardiyoñ kī thī ThanDī raat
chal rahī thī patjhaḌ kī garm havā.eñ yā thā sarsabz mausam-e-barsāt
soch kar mere in savāloñ kā javāb batā.eñ
tab phir aap is qissa ko aage baḌhā.eñ
in qissoñ kī haqīqat meñ maiñ bahut kho jaatī huuñ
isī liye T v khol rangīniyoñ meñ gum ho jaatī huuñ
qissa hai ye do sal pahle ka
ek masum si bachchi ke bachpane ka
puchha mujh se beTi ki beTi ne
yani pyari si ek nawasi ne
nanu kabhi jaDon mein kabhi garmi mein
aur kabhi tez musla-dhaar barish mein
kya kya kahaniyan aap mujhe sunati hain
sunte sunte main kabhi so jati hun
kabhi mahw-e-hairat bani taKHayyul mein kho jati hun
mera nanha sa zehn mayus sa rah jata hai
qissa-e-yusuf ki zuleKHa to bilkul hi bhati nahin
han yusuf ki mohabbat mein un ke baba ka rona dil dukhata hai
kashti-e-nuh mein jaanwaron ka hujum uf allah
musa ki chhaDi sanp ban jaana bahut Daraata hai
aaj mausam to baDa garm hai aur bijli bhi gul
main aaj aap se ek sawal puchhti hun nanu
duniya gar na ghumti to ye mausam-e-garma kaise aata
bagh mein phulon ki bahaar sardiyon mein hi kyon aati hai
jannat ka manzar to baDa KHushnuma bataya aap ne
allah to baDa rahim-o-karim hai to phir jahannum kyon banai
justuju hai ye mujhe ki aadam-o-hawwa jo duniya mein aae
kaun si rut chal rahi thi aur kaun sa tha mausam
zamin tap rahi thi ya sardiyon ki thi ThanDi raat
chal rahi thi patjhaD ki garm hawaen ya tha sarsabz mausam-e-barsat
soch kar mere in sawalon ka jawab bataen
tab phir aap is qissa ko aage baDhaen
in qisson ki haqiqat mein main bahut kho jati hun
isi liye T w khol ranginiyon mein gum ho jati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.