ek shaer dost se
ghar meñ baiThe hue kyā likhte ho
bāhar niklo
dekho kyā haal hai duniyā kā
ye kyā aalam hai
suunī āñkheñ haiñ
sabhī ḳhushiyoñ se ḳhālī jaise
aao in āñkhoñ meñ ḳhushiyoñ kī chamak ham likh deñ
ye jo māthe haiñ
udāsī kī lakīroñ ke tale
aao in māthoñ pe qismat kī damak ham likh deñ
chehroñ se gahrī ye māyūsī miTā ke
aao
in pe ummīd kī ik ujlī kiran ham likh deñ
duur tak jo hameñ vīrāne nazar aate haiñ
aao vīrānoñ par ab ek chaman ham likh deñ
lafz-dar-lafz samundar sā bahe
mauj-ba-mauj
bahr-e-naġhmāt meñ
har koh-e-sitam hal ho jaa.e
duniyā duniyā na rahe ek ġhazal ho jaa.e
ghar mein baiThe hue kya likhte ho
bahar niklo
dekho kya haal hai duniya ka
ye kya aalam hai
suni aankhen hain
sabhi KHushiyon se KHali jaise
aao in aankhon mein KHushiyon ki chamak hum likh den
ye jo mathe hain
udasi ki lakiron ke tale
aao in mathon pe qismat ki damak hum likh den
chehron se gahri ye mayusi miTa ke
aao
in pe ummid ki ek ujli kiran hum likh den
dur tak jo hamein virane nazar aate hain
aao viranon par ab ek chaman hum likh den
lafz-dar-lafz samundar sa bahe
mauj-ba-mauj
bahr-e-naghmat mein
har koh-e-sitam hal ho jae
duniya duniya na rahe ek ghazal ho jae
- Book : LAVA (Pg. 99)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Rajkamal Parakashan Pvt. Ltd (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.