ek sham
nadī ke larazte hue pāniyoñ par
thiraktī huī shoḳh kirnoñ ne chiñgāriyāñ ghol dī haiñ
thakī dhuup ne aa ke lahroñ kī phailī huī nañgī bāñhoñ pe apnī laTeñ khol dī haiñ
ye jū-e-ravāñ hai
ki bahte hue phuul haiñ jin kī ḳhushbueñ gītoñ kī siskāriyāñ haiñ
ye pighle hue zard tāñbe kī chādar pe uljhī huī silvaTeñ haiñ
ki zanjīr-hā-e-ravāñ haiñ
bas ik shor-e-tūfāñ
kinārā na sāhil
nigāhoñ kī had tak
salāsil salāsil
ki jin ko uThā.e hue Doltī pankhuḌiyoñ ke safīne bahe jā rahe haiñ
bahe jā rahe haiñ
kahīñ duur in ghor añdheroñ meñ jo fāsloñ kī ridā.eñ lapeTe khaḌe haiñ
jahāñ par abad kā kinārā hai aur ik vo gaañv
vo ganne ke kyāroñ pe aatī huī Daak gaaḌī ke bhore dhueñ kī chhichhaltī sī chhāñv
nadi ke larazte hue paniyon par
thirakti hui shoKH kirnon ne chingariyan ghol di hain
thaki dhup ne aa ke lahron ki phaili hui nangi banhon pe apni laTen khol di hain
ye ju-e-rawan hai
ki bahte hue phul hain jin ki KHushbuen giton ki siskariyan hain
ye pighle hue zard tanbe ki chadar pe uljhi hui silwaTen hain
ki zanjir-ha-e-rawan hain
bas ek shor-e-tufan
kinara na sahil
nigahon ki had tak
salasil salasil
ki jin ko uThae hue Dolti pankhuDiyon ke safine bahe ja rahe hain
bahe ja rahe hain
kahin dur in ghor andheron mein jo faslon ki ridaen lapeTe khaDe hain
jahan par abad ka kinara hai aur ek wo ganw
wo ganne ke kyaron pe aati hui Dak gaDi ke bhore dhuen ki chhichhalti si chhanw
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 276)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.