ek shabih
kuchh dinoñ se qarīb-e-dil hai vo din
jab achānak usī jagah ik shakl
merī āñkhoñ meñ muskurā.ī thī
ek pal ke liye to ek vo shakl
jaane kyā kuchh thī jhuuT bhī sach bhī
shāyad ik bhuul shāyad ik pahchān
kuchh dinoñ se to jān-būjh ke ab
ye samajhne lagā huuñ maiñ hī to huuñ
jis kī ḳhātir ye aks ubhrā hai
kuchh dinoñ se to ab maiñ dānista
is gumāñ kā fareb khātā huuñ
roz ik shakl us dorāhe par
ab mirā intizār kartī hai
ek dīvār se lagī har sub.h
TikTikī bāñdhe nīm-ruḳh yaksū
ab mirā intizār kartī hai
maiñ guzartā huuñ mujh ko dekhtī hai
maiñ nahīñ dekhtā vo dekhtī hai
us ke chehre kī sāḳht sā.at-e-dīd
zard hoñToñ kī patriyāñ pītal
surḳh āñkhoñ kī TukḌiyāñ qurmuz
roġhnī dhuup meñ dhañste hue paañv
muntazir muntazir udaas udaas
ik yahī chehra ek pal ke liye
jaane kyā kuchh thā lekin ab to mujhe
apnī ye bhuul bhūltī hī nahīñ
ek din ye shabīh dekhī thī
kuchh dinoñ se qarīb-e-dil hai vo din
kuchh dinoñ se to bīt.te hue din
usī ik din meñ Dhalte jaate haiñ
din guzarte haiñ ab to yuuñ jaise
umr us din kā ek hissa hai
umr guzrī ye din nahīñ guzrā
jis taraf jā.ūñ jis taraf dekhūñ
mujh se ojhal bhī mire sāmne bhī
shakl ik Tiin ke varaq pe rahī
shakl ik dil ke chaukhaTe meñ rahī
kuchh dinon se qarib-e-dil hai wo din
jab achanak usi jagah ek shakl
meri aankhon mein muskurai thi
ek pal ke liye to ek wo shakl
jaane kya kuchh thi jhuT bhi sach bhi
shayad ek bhul shayad ek pahchan
kuchh dinon se to jaan-bujh ke ab
ye samajhne laga hun main hi to hun
jis ki KHatir ye aks ubhra hai
kuchh dinon se to ab main danista
is guman ka fareb khata hun
roz ek shakl us dorahe par
ab mera intizar karti hai
ek diwar se lagi har subh
TikTiki bandhe nim-ruKH yaksu
ab mera intizar karti hai
main guzarta hun mujh ko dekhti hai
main nahin dekhta wo dekhti hai
us ke chehre ki saKHt saat-e-did
zard honTon ki patriyan pital
surKH aankhon ki TukDiyan qurmuz
roghni dhup mein dhanste hue panw
muntazir muntazir udas udas
ek yahi chehra ek pal ke liye
jaane kya kuchh tha lekin ab to mujhe
apni ye bhul bhulti hi nahin
ek din ye shabih dekhi thi
kuchh dinon se qarib-e-dil hai wo din
kuchh dinon se to bitte hue din
usi ek din mein Dhalte jate hain
din guzarte hain ab to yun jaise
umr us din ka ek hissa hai
umr guzri ye din nahin guzra
jis taraf jaun jis taraf dekhun
mujh se ojhal bhi mere samne bhi
shakl ek Tin ke waraq pe rahi
shakl ek dil ke chaukhaTe mein rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.