ek shajar
ik shajar mujh se yuuñ huā goyā
aap merī lazzat ke mā'nī jānte haiñ kyā
maiñ ye bolā nahīñ batāo tum
phir vo bolā suno mirī rūdād
maiñ to aisā shajar huuñ sāya-dār
jis ke dāman meñ saiñkaḌoñ panchhī
shaam Dhalte hī
rozānā hī aa ke sote haiñ
chain se aksar
aur thake haare ajnabī raahī
mujh se mil kar sukūn paate haiñ
mere saa.e meñ gungunāte haiñ
giit gaate haiñ pyaar ke aksar
aur bahut se sharāratī bachche
jaane pahchāne aur bahut se log
mujh se bole baġhair hī mujh par
sañgsārī se mere māthe ko
surḳh-rū banāte haiñ
us kī 'evaz meñ hamesha hī
apne phūloñ kī barshgālī se
apnī hastī ke saare samroñ ko
un kī āmad-o-ḳhair-maqdam meñ
ḳhud-baḳhud baḌh ke pesh kartā huuñ
choTeñ khā ke hañstā huuñ
un pe jaañ chhiḌaktā huuñ
hañs ke jiitā huuñ
hañs ke martā huuñ
phir bhī vo
mujh ko chhoḌ jaate haiñ
aur maiñ
intizār kartā huuñ
un ke lauT aane kā
haath meñ liye patthar
aap merī lazzat ke
mā'nī jaan lo ab to
intizār lazzat hai
zaḳhm hī masarrat hai
maiñ ne ye hī samjhā hai
maiñ ne ye hī samjhā hai
maiñ ne ye hī jaanā hai
merā diin ulfat hai
merā farz ḳhidmat hai
zindagī shahādat hai
kā.enāt vahdat hai
'ishq hī 'ibādat hai
har karam se lazzat hai
har sitam meñ lazzat hai
aap merī lazzat ke
mā'nī jaan kar ab to
kyā mujhe navāzeñge
mere paas ā.eñge
haath meñ liye patthar
haath meñ liye patthar
maiñ kyā javāb duuñ us ko
mere haath ḳhālī haiñ
us ke lab savālī haiñ
ek shajar mujh se yun hua goya
aap meri lazzat ke ma'ni jaante hain kya
main ye bola nahin batao tum
phir wo bola suno meri rudad
main to aisa shajar hun saya-dar
jis ke daman mein sainkaDon panchhi
sham Dhalte hi
rozana hi aa ke sote hain
chain se aksar
aur thake haare ajnabi rahi
mujh se mil kar sukun pate hain
mere sae mein gungunate hain
git gate hain pyar ke aksar
aur bahut se shararati bachche
jaane pahchane aur bahut se log
mujh se bole baghair hi mujh par
sangsari se mere mathe ko
surKH-ru banate hain
us ki 'ewaz mein hamesha hi
apne phulon ki barshgali se
apni hasti ke sare samron ko
un ki aamad-o-KHair-maqdam mein
KHud-baKHud baDh ke pesh karta hun
choTen kha ke hansta hun
un pe jaan chhiDakta hun
hans ke jita hun
hans ke marta hun
phir bhi wo
mujh ko chhoD jate hain
aur main
intizar karta hun
un ke lauT aane ka
hath mein liye patthar
aap meri lazzat ke
ma'ni jaan lo ab to
intizar lazzat hai
zaKHm hi masarrat hai
main ne ye hi samjha hai
main ne ye hi samjha hai
main ne ye hi jaana hai
mera din ulfat hai
mera farz KHidmat hai
zindagi shahadat hai
kaenat wahdat hai
'ishq hi 'ibaadat hai
har karam se lazzat hai
har sitam mein lazzat hai
aap meri lazzat ke
ma'ni jaan kar ab to
kya mujhe nawazenge
mere pas aaenge
hath mein liye patthar
hath mein liye patthar
main kya jawab dun us ko
mere hath KHali hain
us ke lab sawali hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.