ek shararat
mirī hayāt kā mehvar chhupā huā hai kahāñ
mujhe vujūd meñ laayā hai kaun kis ke liye
jo kaam maiñ ne kiye aaj tak
fuzūl se the
kahīñ hayāt ke mā'nī nazar nahīñ aate
kahīñ hayāt kā maqsad nazar nahīñ aatā
janam se maut kā vaqfa vujūd kā partav
hazāroñ ḳhvāb jagā.e hue tasavvur meñ
'ajīb karb se labrez apnī zaat liye
bhaTak rahā hai ḳhalā meñ
azal se aise hī
baġhair mā'nī-o-maqsad balā kā shor liye
nahīf paikar-e-hastī ḳhizāñ-rasīda hai
mirī hayāt kā maqsad agar chunīda hai
rahā vo kis liye maḳhfī
'ajab tamāshā hai
husūl-e-zīst se kyoñ 'nūr' nā-shanāsā hai
baqā kī raah yahāñ duur tak nadārad hai
har ek lamha yahāñ maut se 'ibārat hai
mire vujūd kā ehsās kyā sharārat hai
meri hayat ka mehwar chhupa hua hai kahan
mujhe wujud mein laya hai kaun kis ke liye
jo kaam main ne kiye aaj tak
fuzul se the
kahin hayat ke ma'ni nazar nahin aate
kahin hayat ka maqsad nazar nahin aata
janam se maut ka waqfa wujud ka partaw
hazaron KHwab jagae hue tasawwur mein
'ajib karb se labrez apni zat liye
bhaTak raha hai KHala mein
azal se aise hi
baghair ma'ni-o-maqsad bala ka shor liye
nahif paikar-e-hasti KHizan-rasida hai
meri hayat ka maqsad agar chunida hai
raha wo kis liye maKHfi
'ajab tamasha hai
husul-e-zist se kyon 'nur' na-shanasa hai
baqa ki rah yahan dur tak nadarad hai
har ek lamha yahan maut se 'ibarat hai
mere wujud ka ehsas kya shararat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.