ek shauhar ka taaruf
vo sitam-ījād hai vo bānī-e-be-dād hai
hasratoñ kā ḳhuun kartā hai baḌā jallād hai
be-muravvat nāvak-afgan kā koī kyā de nishān
naam us be-dard kā mash.hūr ab sayyād hai
daam be-dāna kā phailātā hai aise jaa'l se
tā.ir-e-dil aa ke ḳhud phañstā hai vo sayyād hai
zab.h kar Daalā kisī ko nīm-bismil kar diyā
koī tanhā hai qafas meñ band ḳhud āzād hai
kund ho kitnī chhurī ruk ruk ke gardan par chale
hukm hai lekin na sunñe paa.eñ ham fariyād hai
barg-e-gul ko rauñd Daalā jab ḳhirām-e-nāz se
bulbuleñ chillā uThīñ fariyād hai fariyād hai
zulm be-andāz kartā hai na.e andāz se
phir maza ye hai asīroñ ko usī kī yaad hai
chaal us kī koī shātir tak samajh saktā nahīñ
kahte haiñ sab apne fan kā ek hī ustād hai
dil meñ kuchh isyāñ kā khaTkā hai na ḳhauf-e-bāġhbāñ
aur turra hai ki hathkandoñ pe apne shaad hai
hukmrāñ fazl-e-ḳhudā se ik vasī.a gulshan kā hai
rahmat-e-bārī hai nāzil har tarah ābād hai
naġhma-sanjī hotī hai aksar to is hasrat ke saath
vo mubārak haiñ ki jin par mehrbāñ sayyād hai
ham-safīroñ se hayā maane hai arz-e-hāl se
sab kaheñge qaid meñ kitnī zabāñ āzād hai
koī kyoñ ham-jins ke zulm-o-tashaddud par kuḌhe
varna rūdād-e-qafas ham ko sire se yaad hai
ek dil aur mushkileñ itnī ki mushkil hai bayāñ
yā-alī āsān kyūñkar hoñ dam-e-imdād hai
qaid-e-ġham se murġh-e-dil ko kījiye jaldī rihā
be-tarah ab 'mīm' kā muztar dil-e-nāshād hai
wo sitam-ijad hai wo bani-e-be-dad hai
hasraton ka KHun karta hai baDa jallad hai
be-murawwat nawak-afgan ka koi kya de nishan
nam us be-dard ka mashhur ab sayyaad hai
dam be-dana ka phailata hai aise ja'l se
tair-e-dil aa ke KHud phansta hai wo sayyaad hai
zabh kar Dala kisi ko nim-bismil kar diya
koi tanha hai qafas mein band KHud aazad hai
kund ho kitni chhuri ruk ruk ke gardan par chale
hukm hai lekin na sunne paen hum fariyaad hai
barg-e-gul ko raund Dala jab KHiram-e-naz se
bulbulen chilla uThin fariyaad hai fariyaad hai
zulm be-andaz karta hai nae andaz se
phir maza ye hai asiron ko usi ki yaad hai
chaal us ki koi shatir tak samajh sakta nahin
kahte hain sab apne fan ka ek hi ustad hai
dil mein kuchh isyan ka khaTka hai na KHauf-e-baghban
aur turra hai ki hathkandon pe apne shad hai
hukmran fazl-e-KHuda se ek wasia gulshan ka hai
rahmat-e-bari hai nazil har tarah aabaad hai
naghma-sanji hoti hai aksar to is hasrat ke sath
wo mubarak hain ki jin par mehrban sayyaad hai
ham-safiron se haya mane hai arz-e-haal se
sab kahenge qaid mein kitni zaban aazad hai
koi kyon ham-jins ke zulm-o-tashaddud par kuDhe
warna rudad-e-qafas hum ko sire se yaad hai
ek dil aur mushkilen itni ki mushkil hai bayan
ya-ali aasan kyunkar hon dam-e-imdad hai
qaid-e-gham se murgh-e-dil ko kijiye jaldi riha
be-tarah ab 'mim' ka muztar dil-e-nashad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.