ek suar se
vo tilismī dopahar thī
saañs lete ghaas ke maidān meñ
sabz miTTī se shuā.eñ ug rahī thiiñ
aur tum kirnoñ meñ
apne thūthne gaaḌe hue
dandanāte phir rahe the
maiñ tumhārī jaan kā dushman
anā ke hush-papī juute pahan kar
apne kiine kā nayā kampā liye
bartarī ke bench par
mahjūb sā baiThā huā
ik purāne jhuuT se
dāman chhuḌānā chāhtā thā
maiñ ne dhīre se tumheñ āvāz dii...
āvāz dī to
apnī teḌhī-meḌhī āñkhoñ se
mujhe tum ne ajab aalam meñ dekhā thā ki bas
maiñ jī paḌā thā
merī āñkheñ jagmagā uTThī thiiñ
mere andar titliyāñ uḌne lagī thiiñ
aur milan kī us ghaḌī meñ
us sunahre din ke pas-manzar meñ
tum hairāñ se
apnī dhun meñ
apnī jāvedāñ bad-sūratī meñ
ek chīte kī tarah se ḳhūb-sūrat lag rahe the
Darte Darte
hairatī reD-indian amriciyoñ kī tarah
dhartī kī dhamak sunte hue
tum paas aa.e
paas aakar be-yaqīnī se mujhe takne lage the
maiñ tumheñ taskīn denaa.....
phir... se bhalmansī kā rishta joḌ lenā chāhtā thā
aur apne sañg-basta haath se
jab tumheñ sahlā rahā thā
aur tumhāre khurdure bāloñ meñ
apnī uñgliyāñ uljhā rahā thā
ek albelī masarrat
ik na.ī lazzat milī
vo jo nafrat kī kamānī
dil kī tah meñ gaḌ ga.ī thī
TūTtī jaatī thī
mere andar kī kaleñ khulne lagī thī
maiñ pighaltā jā rahā thā
vo hamārī dostī...
vo hamārī fat.h-mandī kā janam-din...
vo tilismī dopahar...
saañs... lete ghaas ke maidān meñ
sabz miTī se shuā.eñ ug rahī thiiñ
wo tilismi dopahar thi
sans lete ghas ke maidan mein
sabz miTTi se shuaen ug rahi thin
aur tum kirnon mein
apne thuthne gaDe hue
dandanate phir rahe the
main tumhaari jaan ka dushman
ana ke hush-papi jute pahan kar
apne kine ka naya kampa liye
bartari ke bench par
mahjub sa baiTha hua
ek purane jhuT se
daman chhuDana chahta tha
main ne dhire se tumhein aawaz di
aawaz di to
apni teDhi-meDhi aankhon se
mujhe tum ne ajab aalam mein dekha tha ki bas
main ji paDa tha
meri aankhen jagmaga uTThi thin
mere andar titliyan uDne lagi thin
aur milan ki us ghaDi mein
us sunahre din ke pas-manzar mein
tum hairan se
apni dhun mein
apni jawedan bad-surati mein
ek chite ki tarah se KHub-surat lag rahe the
Darte Darte
hairati reD-indian amriciyon ki tarah
dharti ki dhamak sunte hue
tum pas aae
pas aakar be-yaqini se mujhe takne lage the
main tumhein taskin dena
phir se bhalmansi ka rishta joD lena chahta tha
aur apne sang-basta hath se
jab tumhein sahla raha tha
aur tumhaare khurdure baalon mein
apni ungliyan uljha raha tha
ek albeli masarrat
ek nai lazzat mili
wo jo nafrat ki kamani
dil ki tah mein gaD gai thi
TuTti jati thi
mere andar ki kalen khulne lagi thi
main pighalta ja raha tha
wo hamari dosti
wo hamari fath-mandi ka janam-din
wo tilismi dopahar
sans lete ghas ke maidan mein
sabz miTi se shuaen ug rahi thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.